Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Bharat Bhushan Pant
miri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai
kahaan tanhaai ghar ki ab kisi se baat karti hai
hamesha us ki baaton mein andheron kaa vahi ronaa
ye shab jab bhi diye ki raushni se baat karti hai
· · ·
Bharat Bhushan Pant
kabhi sukun kabhi sabr-o-qaraar TuTegaa
agar ye dil hai to phir baar baar TuTegaa
vo apne zarf se baDh kar bharaa huaa baadal
ye dekhnaa kahin be-ikhtiyaar TuTegaa
· · ·
Bharat Bhushan Pant
mustaqil rone se dil ki be-kali baDh jaaegi
baarishein hoti rahin to ye nadi baDh jaaegi
ishq ki raahon mein haael ho rahi hai aagahi
ab junun baDh jaaegaa divaangi baDh jaaegi
· · ·
Bharat Bhushan Pant
samundaron ko bhi dariyaa samajh rahe hain ham
ye apne-aap ko ab kyaa samajh rahe hain ham
hamaari raah mein haael jo ik andheraa hai
use bhi apnaa hi saaya samajh rahe hain ham
· · ·
Bharat Bhushan Pant
kab talak chalnaa hai yuun hi ham-safar se baat kar
manzilein kab tak mileingi rahguzar se baat kar
tujh ko mil jaaegaa tere sab savaalon kaa javaab
kashtiyaan kyuun Duub jaati hain bhanvar se baat kar
· · ·
Bharat Bhushan Pant
ishq kaa rog to virse mein milaa thaa mujh ko
dil dhaDaktaa huaa siine mein milaa thaa mujh ko
haan ye kaafir usi hujre mein milaa thaa mujh ko
ek momin jahaan sajde mein milaa thaa mujh ko
· · ·
Bharat Bhushan Pant
har ek raat mein apnaa hisaab kar ke mujhe
sahar ko chhoD diyaa aaftaab kar ke mujhe
mire junun ko pahunchaa diyaa hai manzil tak
safar ke shauq ne khaana-kharaab kar ke mujhe
· · ·
Bharat Bhushan Pant
main kyaa bataaun kaisi pareshaaniyon mein huun
kaaghaz ki ek naav huun aur paaniyon mein huun
chehre ke khadd-o-khaal mein mahdud main nahin
ik aaina huun apni hi hairaaniyon mein huun
· · ·
Bharat Bhushan Pant
sachchaaiyon ko bar-sar-e-paikaar chhoD kar
ham aa gae hain dasht mein ghar-baar chhoD kar
aankhon mein jaagte hue khvaabon kaa kyaa karein
nindein chali gaiin hamein bedaar chhoD kar
· · ·
Bharat Bhushan Pant
laakh Takraate phirein ham sar dar-o-divaar se
ji ki bhartaa hi nahin hai lazzat-e-aazaar se
kuchh to ghar vaalon ne ham ko kar diyaa maazur saa
aur kuchh ham fitratan uktaa gae ghar-baar se
· · ·
Bharat Bhushan Pant
kuchh na kuchh silsila hi ban jaataa
ret par naqsh-e-paa hi ban jaataa
kis ne kaaghaz pe likh diyaa mujh ko
is se behtar sadaa hi ban jaataa
· · ·
Bharat Bhushan Pant
sab ne honTon se lagaa kar toD Daalaa hai mujhe
kuza-gar ne jaane kis miTTi se Dhaalaa hai mujhe
is tarah to aur manzar ki udaasi baDh gai
main kahin khud mein nihaan thaa kyuun nikaalaa hai mujhe
· · ·
Bharat Bhushan Pant
sisakte baam-o-dar rotaa huaa ghar chhoD aayaa huun
main khud ko ek viraane mein jaa kar chhoD aayaa huun
jahaan ehsaas ki aavaaz bhi aati nahin mujh tak
main aisi be-hisi mein khud ko aksar chhoD aayaa huun
· · ·
Bharat Bhushan Pant
kab tak gardish mein rahnaa hai kuchh to bataa ayyaam mujhe
kashti ko saahil mil jaataa aur thoDaa aaraam mujhe
dasht nahin hai ye to meraa ghar hai lekin jaane kyuun
uljhaae rahti hai ik vahshat si subh-o-shaam mujhe
· · ·
Bharat Bhushan Pant
justuju meri kahin thi aur main bhaTkaa kahin
mil gai manzil mujhe to kho gayaa rastaa kahin
puchhtaa rahtaa huun khud se kyaa use dekhaa kahin
aaine ke zaaviyon mein kho gayaa chehra kahin
· · ·
Bharat Bhushan Pant
khvaahish-e-parvaaz hai to baal-o-par bhi chaahiye
main musaafir huun mujhe rakht-e-safar bhi chaahiye
is qadar bhi ranj kaa khugar nahin huun main abhi
raaste mein dhuup ho to ik shajar bhi chaahiye
· · ·
Bharat Bhushan Pant
main ne sochaa thaa mujhe mismaar kar saktaa nahin
'aks to mujh par palaT kar vaar kar saktaa nahin
aaina zaahir to kar saktaa hai khadd-o-khaal ko
aaina ehsaas kaa izhaar kar saktaa nahin
· · ·
Bharat Bhushan Pant
phir vo be-samt uDaanon ki kahaani sun kar
so gayaa peD parindon ki kahaani sun kar
kyaa yahi khvaab ki taa'bir huaa karti hai
uD gai niind bhi aankhon ki kahaani sun kar
· · ·
Bharat Bhushan Pant
paraayaa lag rahaa thaa jo vahi apnaa nikal aayaa
miraa ik ajnabi se duur kaa rishta nikal aayaa
abhi tak to tiri yaadein miri miraas thiin lekin
tasavvur mein kahaan se ik nayaa chehra nikal aayaa
· · ·
Bharat Bhushan Pant
khvaab jiine nahin deinge tujhe khvaabon se nikal
vaqt barbaad na kar raaegaan sochon se nikal
dasht-e-imkaan mein dariyaa bhi hai baadal bhi hain
shart bas itni hai tu apne saraabon se nikal
· · ·
Bharat Bhushan Pant
chaahaton ke khvaab ki taabir thi bilkul alag
aur jiinaa paD rahi hai zindagi bilkul alag
vo alag ehsaas thaa jab kashtiyaan maujon mein thiin
lag rahi hai ab kinaare se nadi bilkul alag
· · ·
Bharat Bhushan Pant
rishton ke jab taar ulajhne lagte hain
aapas mein ghar-baar ulajhne lagte hain
maazi ki aankhon mein jhaank ke dekhun to
kuchh chehre har baar ulajhne lagte hain
· · ·
Bharat Bhushan Pant
aab ki taasir mein huun pyaas ki shiddat mein huun
abr kaa saaya huun lekin dasht ki vusat mein huun
yuun to apnaa lag rahaa hai jism kaa ye ghar mujhe
ruuh lekin kah rahi hai dekh main ghurbat mein huun
· · ·
Bharat Bhushan Pant
khud par jo e'timaad thaa jhuTaa nikal gayaa
dariyaa mire qayaas se gahraa nikal gayaa
shaayad bataa diyaa thaa kisi ne miraa pata
milon miri talaash mein rasta nikal gayaa
· · ·







