Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Bilqis Zafirul Hasan
be-taalluq saare rishte kaun kis kaa aashnaa
saath saae ki tarah sab aur sab naa-aashnaa
karb jaari hai bajaae khuun ragon mein saahibo
kaun hai ham saa jahaan mein gham se itnaa aashnaa
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
jiinaa hai khuub auron ki khaatir jiyaa karo
ik-aadh saans khud bhi to lete rahaa karo
kyaa harj hai jo dil ki bhi sun lo kabhi kabhi
yuun apne aap se na hamesha laDaa karo
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
divaar-o-dar mein simTaa ik lams kaanptaa hai
bhule se koi dastak de kar chalaa gayaa hai
sabr o shakeb baaqi taab o tavaan salaamat
dil misl-e-ud jal jal khushbu bikhertaa hai
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
aisaa hone nahin detaa thaa magar hone ko hai
zindagi ab to na jiine mein basar hone ko hai
par jo kaaTe gae jaa phaile havaaon mein tamaam
apni parvaaz ba-andaaz-e-digar hone ko hai
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
paabandiyon se apni nikalte vo paa na the
sab raaste khule the magar ham pe vaa na the
ye aur baat shauq se ham ko sunaa gayaa
phir bhi vahi sunaayaa sunaa ik fasaana the
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
badan pe zakhm sajaae lahu labaada kiyaa
har ek sang se yuun ham ne istifaada kiyaa
hai yuun ki kuchh to baghaavat-sirisht ham bhi hain
sitam bhi us ne zarurat se kuchh ziyaada kiyaa
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
miri hatheli mein likkhaa huaa dikhaai de
vo shakhs mujh ko ba-rang-e-hinaa dikhaai de
use jo dekhun to apnaa suraagh paaun main
isi ke naam mein apnaa pataa dikhaai de
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
koi aahaT koi sargoshi sadaa kuchh bhi nahin
ghar mein ik behis khamoshi ke sivaa kuchh bhi nahin
naam ik naayaab saa likkhaa thaa vo bhi miT gayaa
ab hatheli par lakiron ke sivaa kuchh bhi nahin
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
kab ik maqaam pe rukti hai sar-phiri hai havaa
tamaam shahr o bayaabaan ko chhaanti hai havaa
nasib-e-paa-e-junun hai sadaa ki dar-badri
havaa-e-jaada-o-manzil mein kab chali hai havaa
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
daamaan-e-aarzu ke kinaare sameTte
miltaa hai kab kisi ko vo sab kuchh jo chaahiye
hote hain kuchh sharar bhi chhupe raakh mein kahin
hai dekhne mein sard sambhal kar kurediye
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
hamaari jaagti aankhon mein khvaab saa kyaa thaa
ghaneri shab mein ugaa aaftaab saa kyaa thaa
kahin hui to thi halchal kahin pe gahre mein
bigaD bigaD ke vo bantaa habaab saa kyaa thaa
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
zakhm ko phuul kahein nauhe ko naghma samjhein
itne saada bhi nahin ham ki na itnaa samjhein
zakhm kaa apne mudaavaa kise manzur nahin
haan magar kyuun kisi qaatil ko masihaa samjhein
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
apni to koi baat banaae nahin bani
kuchh ham na kah sake to kuchh us ne nahin suni
yuun to chahaar samt hai apne hisaar-e-shab
ham tirgi ko chhed ke laate hain raushni
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
jaane kyaa kuchh hai aaj hone ko
ji miraa chaahtaa hai rone ko
ek umr aur haath kyaa aayaa
zindagi kyaa mili thi khone ko
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
fusun-zada hain havaaein manzar tamaam mashur chup paDe hain
siyaah nairang nim-shab kaa sitaare jhuk jhuk ke dekhte hain
sahar ki lau mein jalaa rahi hai sabaa kanval rang-o-bu mein tar hain
darakht saare sajaae moti ki thaaliyaan saf-ba-saf khaDe hain
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
ek aalam hai ye hairaani kaa jiinaa kaisaa
kuchh nahin hone ko hai apnaa ye honaa kaisaa
khuun jamtaa saa rag-o-pai mein hue shal ehsaas
dekhe jaati hai nazar haul tamaashaa kaisaa
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
shaam se ham taa sahar chalte rahe
chuur the thak kar magar chalte rahe
sang ho jaate jo muD kar dekhte
ungliyaan kaanon mein dhar chalte rahe
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
kab ek rang mein duniyaa kaa haal Thahraa hai
khushi ruki hai na koi malaal Thahraa hai
taDap rahe hain paDe roz o shab mein uljhe log
nafas nafas koi pechida jaal Thahraa hai
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
kis ne kahaa kisi kaa kahaa tum kiyaa karo
lekin kahe koi to kabhi sun liyaa karo
har aarzu fareb hai har justuju saraab
machle jo dil bahut use samjhaa diyaa karo
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
detaa thaa jo saayaa vo shajar kaaT rahaa hai
khud apne tahaffuz ki vo jaD kaaT rahaa hai
be-samt uDaanon se pashimaan parinda
ab apni hi minqaar se par kaaT rahaa hai
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
kaanTe hon yaa phuul akele chunnaa hogaa
ham jaisaa mohtaat hamesha tanhaa hogaa
fikr o taraddud mein har dam kyaa ghulte rahnaa
hogaa to bas vo hi jo kuchh honaa hogaa
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
zinda honaa aur na jiinaa tum hi kaho kyaa mumkin hai
khud ko kar denaa an-dekhaa tum hi kaho kyaa mumkin hai
aas ki lau aankhon mein jalaae laDti jaaun andheron se
raat hai raat kaa ho na saveraa tum hi kaho kyaa mumkin hai
· · ·
Bilqis Zafirul Hasan
nazar aataa hai vo jaisaa nahin hai
jo kahte ho magar vaisaa nahin hai
nahin hotaa hai kyaa kyaa is jahaan mein
vahi jo chaahiye hotaa nahin hai
· · ·







