Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Bilal Saharanpuri
ghaDiyaan ajiib hoti hain kuchh intizaar ki
haalat na puchiyegaa dil-e-be-qaraar ki
aankhein har ek shakhs ki rone lagin lahu
mausam ne rukhsati jo sunaai bahaar ki
· · ·
Bilal Saharanpuri
jo taalluq hai chaman mein phuul kaa khushbu ke saath
hai vahi rishta musalmaan kaa yahaan hindu ke saath
hai vahi nisbat hamaari sar-zamin-e-hind se
jo hai nisbat shaairi mein miir ki urdu ke saath
· · ·
Bilal Saharanpuri
manzilon ki chaah le kar raaston mein qaid hain
jitne the aazaad panchhi ghonslon mein qaid hain
jo ye kahte the hamaare paanv mein til hai janaab
aaj aise log bhi apne gharon mein qaid hain
· · ·
Bilal Saharanpuri
ik brahman ne kahaa hai mere haal-e-zaar par
ho ke momin mar rahaa hai kyuun but-e-pindaar par
dekh kar baarish ki bundein sochtaa rahtaa huun main
ro rahaa hai aasmaan bhi aaj hijr-e-yaar par
· · ·
Bilal Saharanpuri
zid pe hai duniyaa to zid pe teraa divaana bhi hai
paanv mein zanjir bhi teri taraf jaanaa bhi hai
TuuT kar dil ne hamaare kal tujhe chaahaa bhi thaa
TuuT kar dil ne hamaare aaj ye jaanaa bhi hai
· · ·
Bilal Saharanpuri
kuchh nazaakat na ho shokhi na ho andaaz na ho
husn vo husn kyaa jis husn mein kuchh naaz na ho
zulm ke saath hai ye shart bhi us zaalim ki
aah nikle bhi agar koi to aavaaz na ho
· · ·
Bilal Saharanpuri
is siyaasat mein miyaan aabaad ho jaane ke baad
mar gae kirdaar zindabaad ho jaane ke baad
ham se achchhaa kaun shaair thaa yahaan lekin janaab
fikr-o-fan jaataa rahaa ustaad ho jaane ke baad
· · ·
Bilal Saharanpuri
roz puchhe hai mire dil kaa bayaabaan mujh se
jaane kyon ruuTh gayaa jaan-e-bahaaraan mujh se
maut us vaqt masihaa ki tarah lagti hai
zindagi hoti hai jab dast-o-garebaan mujh se
· · ·
Bilal Saharanpuri
hamaare haal-e-dil ki tum ko kuchh aise khabar hogi
tumhaari aastin hogi hamaari chashm-e-tar hogi
hasin to aur bhi aa jaaeinge aaghosh mein lekin
kahaan ye marmarin baahein kahaan aisi kamar hogi
· · ·







