Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Bismil Arifi
us ki qurbat kaa tamaashaa bhi ajab hai saain
log bimaar samajhte hain ghazab hai saain
ab tabiat ke na lagne pe khulaa mahfil mein
ik vahi shokh nahin vaise to sab hai saain
· · ·
Bismil Arifi
mujhe zamin hi likh us ko aasmaan likh de
kabhi likhi na gai ho vo daastaan likh de
kahaan main teri 'inaayaat par huun shikva-sanj
ki mere naam koi aur kahkashaan likh de
· · ·
Bismil Arifi
tire dayaar talak yuun to aa hi jaate hain
ye aur baat tasavvur mein ji jalaate hain
miri udaas nazar kaa khayaal hai varna
use to chaand sitaare bahut bulaate hain
· · ·
Bismil Arifi
hunar se apne kisi ko vo dang kyaa karte
ghurub ho gayaa suraj to jang kyaa karte
hamaare haath se mausam phisal gayaa varna
tumhin kaho ki salaatin rang kyaa karte
· · ·
Bismil Arifi
maanaa ki samundar kaa kinaara bhi nahin hai
par lauT ke jaane kaa iraada bhi nahin hai
alfaaz ne sab khol diye raaz badan ke
vaise to kisi ne use dekhaa bhi nahin hai
· · ·
Bismil Arifi
jab vo kahtaa hai samundar hai kinaaya us kaa
rang yak-lakht badaltaa hai saraapaa us kaa
kab pukaaregaa bhalaa naam bhanvar se meraa
kab bhalaa aaegaa phir mauj mein dariyaa us kaa
· · ·
Bismil Arifi
husn se jab fareb khaayaa hai
kohsaaron se dil lagaayaa hai
duur rah kar bhi paas rah kar bhi
'ishq ko ham ne aazmaayaa hai
· · ·
Bismil Arifi
qubul-e-'aam huaa huun to saf mein rakkhaa hai
havaa ne naam miraa sar-ba-kaf mein rakkhaa hai
guhar-shanaas ne bhi maslahat se kaam liyaa
yaqin kaa nuur to kab se sadaf mein rakkhaa hai
· · ·
Bismil Arifi
use milaa hai fariza siyaahkaari kaa
sabaq fuzul paDhaanaa hai shahr-yaari kaa
tumhaare haath ne bakhshi hai jaan paudon ko
kahaan se siikh liyaa fan ye aabyaari kaa
· · ·
Bismil Arifi
khayaal-o-khvaab ki duniyaa se istifaada kiyaa
hunar samajh ke isi kaam ko ziyaada kiyaa
ye tu ne kaun se mansab ki paasdaari ki
banaayaa miir mujhe khud ko mirzaada kiyaa
· · ·
Bismil Arifi
shagufta phuul mein tishna-labi ko
abhi rahne do is jaadugari ko
akeli zindagi laakhon tamaashe
kahaan DhunDoge meri muflisi ko
· · ·
Bismil Arifi
mire khayaal ki paakizgi pe chup kyon hai
adab-navaaz miri aagahi pe chup kyon hai
main sochtaa huun to raatein siyaah hoti hain
zamaana aaj tiri rahbari pe chup kyon hai
· · ·
Bismil Arifi
baqaa ki chaah mein tu dekh be-makaan na ho
zamin teri haqiqat hai aasmaan na ho
rah-e-najaat mein manzil ki justuju kis ko
ye vo safar hai ki jis mein kabhi thakaan na ho
· · ·
Bismil Arifi
kuchh aisaa huaa be-sar-o-saamaan miri jaan
duniyaa mujhe kahne lagi naadaan miri jaan
shoalon ko mayassar kahaan shabnam ki rifaaqat
khud ko na karo aise bhi halkaan miri jaan
· · ·
Bismil Arifi
khud apne aap ko zanjir kartaa rahtaa hai
vo mere khvaab ki taabir kartaa rahtaa hai
ajab nahin ki use meri aarzu hi na ho
ki ab vo aane mein taakhir kartaa rahtaa hai
· · ·
Bismil Arifi
kahin jaaun taalluq kaa sitaara chaltaa rahtaa hai
mire hamraah ye kis kaa ishaara chaltaa rahtaa hai
basirat kho gai lekin tavaqqoa hai bashaarat ki
kisi ke naam kaa ab bhi sahaaraa chaltaa rahtaa hai
· · ·
Bismil Arifi
main jab bhi gaanv apne lauTtaa huun
kisi ki ruuh tishna dekhtaa huun
kai chehre shanaasaa us gali ke
kise aavaaz duun ye sochtaa huun
· · ·
Bismil Arifi
rut badalti hai badaltaa nahin manzar saain
ab kahaan jaae bataa teraa qalandar saain
ik mire naam nahin teri sakhaavat varna
jagmagaataa hai karishma tiraa dar dar saain
· · ·
Bismil Arifi
jhankaar kaa rishta to hai zanjir se saain
kyon log pareshaan hue taabir se saain
kuchh log abhi shahr mein aise bhi hain khush-posh
jo aag lagaa dete hain taqrir se saain
· · ·
Bismil Arifi
yahaan nahin na sahi par kahin to ho jaae
havas jahaan ki nahin hai zamin to ho jaae
main apne saare taqaazon ko taaq par rakh duun
koi kisi kaa nahin hai yaqin to ho jaae
· · ·
Bismil Arifi
kuchh yaad nahin kaise hunar bhuul gae hain
honaa thaa jinhein shams-o-qamar bhuul gae hain
duniyaa ke tamaashon ne kuchh uljhaayaa hai aisaa
kab shaam hui kab thi sahar bhuul gae hain
· · ·
Bismil Arifi
dil-o-dimaagh pe aise vo chhaae jaate hain
ki ham bhi khvaab mein duniyaa basaae jaate hain
‘adaavaton se bhari hai ye khub-ru duniyaa
so ham charaagh-e-mohabbat jalaae jaate hain
· · ·
Bismil Arifi
mujhe bhi jiine kaa ehsaas ab zaraa ho jaae
kabhi nikaal lo fursat to ratjagaa ho jaae
na aarzu na khalish kuchh nahin kisi dil mein
nigaah bhar ke jise dekh lo tiraa ho jaae
· · ·
Bismil Arifi
khayaal-o-khvaab ki duniyaa se istifaada kiyaa
hunar samajh ke isi kaam ko ziyaada kiyaa
ye tu ne kaun se mansab ki paasdaari ki
banaayaa miir mujhe khud ko mirzaada kiyaa
· · ·







