Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Elma Hashmi
khud ko bedaad kar ke roegaa
niind barbaad kar ke roegaa
main tujhe yaad kar ke roungi
tu mujhe yaad kar ke roegaa
· · ·
Elma Hashmi
khud ko itnaa bhi talabgaar nahin karnaa thaa
baat karni thi magar pyaar nahin karnaa thaa
dekh ghusse ne tujhe aaj fanaa kar Daalaa
bas yahi kaam tujhe yaar nahin karnaa thaa
· · ·
Elma Hashmi
raaz kyaa kyaa hain mire dil mein sunaaun kaise
zakhm kis kis ne diye hain ye bataaun kaise
teri yaadein mujhe bechain to karti hain magar
apne dil ko main kahin aur lagaaun kaise
· · ·
Elma Hashmi
ye khushi thi ki us kaa pyaar milaa
aur ye gham ki ek baar milaa
us ke aane kaa raasta dekhaa
meri aankhon ko intizaar milaa
· · ·
Elma Hashmi
kisi se dil lagaanaa chaahiye thaa
kisi kaa dil jalaanaa chaahiye thaa
hamaari aankh mein tum tairte ho
tumhein to Duub jaanaa chaahiye thaa
· · ·
Elma Hashmi
aise vo jaane lagaa mujh ko dilaasa de kar
jaise bachche ko koi jaae khilaunaa de kar
jo bhi aataa hai Thahartaa hai chalaa jaataa hai
koi ruktaa hi nahin mujh ko sahaaraa de kar
· · ·
Elma Hashmi
har vasile ko zamaane se judaa sochte hain
ye nai nasl ke bachche hain nayaa sochte hain
itni fursat hi nahin deti gharibi ham ko
ham kahaan kuchh bhi kamaane ke sivaa sochte hain
· · ·
Elma Hashmi
haal kyaa hogaa munaafiq se mohabbat kar ke
ham bhi dekheinge zaraa ab ke siyaasat kar ke
is liye kahte ho duniyaa mein vafaadaar nahin
tum ne dekhaa hi nahin ham se mohabbat kar ke
· · ·







