Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Fakhr Zaman
jaaeinge kahaan sar pe jab aa jaaegaa suraj
vo log jo divaar ke saae mein khaDe hain
allaah ye lamha to qayaamat ki ghaDi hai
insaan se insaan ke saae bhi baDe hain
· · ·
Fakhr Zaman
ham log to aakaas ki belon mein ghire hain
khush-bakht hain jo gulshan-e-hasti mein khile hain
is dhuup ki shiddat se nahin koi mafar ab
divaar ke saae mein baDe log khaDe hain
· · ·
Fakhr Zaman
ai ham-safaro kyuun na nayaa shahr basaa lein
apne hi usuul apni hi aqdaar banaa lein
jin logon ne ab tak mire honTon ko siyaa hai
sozan se miri soch kaa kaanTaa bhi nikaalein
· · ·
Fakhr Zaman
mashhur ho gayaa vo miraa pairahan liye
main phir rahaa huun shahr mein nangaa badan liye
main to kabhi kaa mar chukaa aur log ro chuke
ye kaun phir se aa gayaa meraa kafan liye
· · ·
Fakhr Zaman
achchhaa jise kahte hain vo lagtaa hai buraa bhi
insaan huun insaan se hoti hai khataa bhi
is shahr mein insaaf ki taarif alag hai
jo jurm karaae vahi detaa hai sazaa bhi
· · ·
Fakhr Zaman
jo raazdaar the pahle vo dushman-e-jaan hain
magar jo dushman-e-jaan the vo raazdaar hue
gunaah khud hi kiyaa khud ko phir sazaa de li
ham apne haathon kai baar sangsaar hue
· · ·
Fakhr Zaman
tiri gali si kisi bhi gali ki shaan nahin
ki is zamin pe sunte hain aasmaan nahin
mizha se baDh ke nahin hai jo koi tir-e-hasin
tumhaare abru se dilkash koi kamaan nahin
· · ·
Fakhr Zaman
mushkil se chaman mein hamein ek baar milaa phuul
bas haath lagaayaa thaa ki Tahni se jhaDaa phuul
khushbu jo nahin hai na sahi rang to dekho
baalon mein sajaa lo koi kaaghaz kaa banaa phuul
· · ·
Fakhr Zaman
kisi ki yaad hai aur hasraton kaa maatam hai
bahut dinon se lagaataar aankh pur-nam hai
ho zard zard na kyuun shama ki ziyaa yaaro
ki us ko apne pighalne kaa jaan-gusil gham hai
· · ·
Fakhr Zaman
kuchh baat nahin jism agar meraa jalaa hai
sad-shukr ki us bazm se sho'la to uThaa hai
maanaa ki mire lawn ki phir sabz hui ghaas
is meinh mein paDosi kaa makaan bhi to giraa hai
· · ·
Fakhr Zaman
jo dhuup ki tapti hui saanson se bachi soch
phir chaandni-raaton mein baDi der jali soch
aaraam se ik lamha bhi jiinaa nahin mumkin
har vaqt mire zehn mein rahti hai nai soch
· · ·
Fakhr Zaman
vo pahle andhe kuein mein giraae jaate hain
jo sang shishe ke ghar mein sajaae jaate hain
ajiib rasm hai yaaro tumhaari mahfil mein
diye jalaane se pahle bujhaae jaate hain
· · ·
Fakhr Zaman
shave baDhi hai saakit aankhein bikhre bikhre baal
'fakhr' tu kaise haal mein gum hai apnaa aap sanbhaal
main ne mez pe rakh Daale hain taash ke saare patte
ab to apne dil se saare vahm khayaal nikaal
· · ·
Fakhr Zaman
saari sochein zehn se jhaTko
saare moti khaak mein rolo
duniyaa se samjhauta kar lo
hiire kaaTo patthar bolo
· · ·
Fakhr Zaman
vo pahle andhe kunein mein giraae jaate hain
jo sang shishe ke ghar mein sajaae jaate hain
ajiib rasm hai yaaro tumhaari mahfil mein
diye jalaane se pahle bujhaae jaate hain
· · ·
Fakhr Zaman
ab paas-e-adab chhoDiye ab boliye qimat
baazaar mein le aai mujhe meri falaakat
phir shahr pe aaseb kaa saaya hai musallat
har aankh hai pathraai hui jism hain saakit
· · ·
Fakhr Zaman
us buDhe gadaagar se mujhe khauf lagaa thaa
andhaa thaa magar phir bhi mujhe dekh rahaa thaa
logon ne kahaa phuul thaa so maan gayaa main
patthar thaa jo us roz mire sar pe giraa thaa
· · ·
Fakhr Zaman
lamhon kaa bhanvar chiir ke insaan banaa huun
ehsaas huun main vaqt ke siine mein gaDaa huun
kahne ko to har mulk mein ghumaa huun phiraa huun
sochun to jahaan thaa vahin chup-chaap khaDaa huun
· · ·
Fakhr Zaman
lagti to hai mazbut magar kachchi baDi hai
ye unchi imaarat ki jo haDiyon pe bani hai
siina to hai kuchle hue jazbaat kaa madfan
chehre pe mahakte hue phulon ki laDi hai
· · ·
Fakhr Zaman
ye buzdili thi hamaari bahaaduri na hui
hazaar chaahaa magar phir bhi khud-kushi na hui
kuchh is tarah se khayaalon ki raushni phaili
tumhaari zulf bhi bikhri to tirgi na hui
· · ·
Fakhr Zaman
bahaaduri jo nahin hai to buzdili bhi nahin
bahut hi chaahaa magar ham se khud-kushi na hui
kuchh is tarah se khayaalon ne raushni bakhshi
tumhaari zulf bhi bikhri to tirgi na hui
· · ·
Fakhr Zaman
ai ham-safaro kyon na yahin shahr basaa lein
ham apne usuul apni hi aqdaar banaa lein
vo log jinhon ne mire honTon ko siyaa hai
sozan se miri soch kaa kaanTaa bhi nikaalein
· · ·







