Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Fauziya Rabab
thi us ke liye khvaab ki taabir koi hiir
karti thi na raanjhe ko jo taskhir koi hiir
hoti hai vo izzat bhi vo beTi bhi hayaa bhi
kyuun pahne faqat ishq ki zanjir koi hiir
· · ·
Fauziya Rabab
ajiib chhaayaa hai khauf-o-hiraas aankhon mein
tumhaaraa dard nahin hai udaas aankhon mein
tamaam dasht pe taari hai vajd kaa aalam
junun kaa raqs sitaara-shanaas aankhon mein
· · ·
Fauziya Rabab
ghaayal hai teri shahzaadi shahzaade
tu ne jo har baat bhulaa di shahzaade
har jaanib ho ek munaadi shahzaade
teri ho gai ye shahzaadi shahzaade
· · ·
Fauziya Rabab
log karte hain faqat vaqt guzaari paagal
baat kartaa hai yahaan kaun hamaari paagal
us ne ik baar kahaa koi nahin tum jaisaa
tab se main lagne lagi khud ko bhi pyaari paagal
· · ·
Fauziya Rabab
kis ko apnaa haal sunaaein aap bataaein
kaise dil ko ham samjhaaein aap bataaein
aap kahein main baad mein apni kah lungi
aap kahein phir bhuul na jaaein aap bataaein
· · ·
Fauziya Rabab
tum bhi ab shahr se Dar jaate ho had karte ho
dekh kar mujh ko guzar jaate ho had karte ho
nain to yunhi tumhaare hain balaa ke qaatil
us pe tum roz sanvar jaate ho had karte ho
· · ·
Fauziya Rabab
naqsh takmil tak pahunchtaa hai
aks bas aap kaa ubhartaa hai
ab mohabbat ki aur had kyaa ho
meri beTi mein tu ubhartaa hai
· · ·
Fauziya Rabab
ranj-o-huzn-o-malaal naa saain
koi meraa kamaal naa saain
ik tire baa'd ho mire dil mein
aur koi khayaal naa saain
· · ·
Fauziya Rabab
usi kaa zikr kahaani se iqtibaas rahe
vo har ghaDi jo mire vaaste udaas rahe
ye us kaa qurb mujhe ishq ki ataa se milaa
vo duur jaae magar mere aas-paas rahe
· · ·
Fauziya Rabab
nazar udaas jigar be-qaraar chup khaamosh
tujhe kahaa na abhi sabr yaar chup khaamosh
ye manzilon ke sabhi vaahime machaaein shor
magar hai kis liye har rahguzaar chup khaamosh
· · ·
Fauziya Rabab
dil mein Thahraa dard nigoDaa kuza-gar
kaise moD pe tu ne chhoDaa kuza-gar
main bhi khud se ruThi ruThi rahti huun
jab se tu ne mukh hai moDaa kuza-gar
· · ·
Fauziya Rabab
husn-e-saada kaa vaar aankhein hain
bin tire be-qaraar aankhein hain
meri jaanib hai jo tiraa chehra
meri jaanib hazaar aankhein hain
· · ·
Fauziya Rabab
tum ho meri ziist kaa haasil shahzaade
toD na denaa tum meraa dil shahzaade
apne andar tum ko dekh rahi huun main
aaina hai mere muqaabil shahzaade
· · ·
Fauziya Rabab
yunhi dukh ho jaaveinge kam shahzaade
aa jaa sukh ke khvaab bunein ham shahzaade
apne hosh ganvaa baiThi huun phir se aaj
soch rahi huun tujh ko har dam shahzaade
· · ·
Fauziya Rabab
main boli tere lab par hai hansi meri
vo bolaa mat baDhaao bekali meri
main boli shaahzaade mol kyaa meraa
vo bolaa shaahzaadi zindagi meri
· · ·
Fauziya Rabab
zulf-e-mohabbat barham barham mi raqsam
vajd mein hai phir chashm-e-pur-nam mi raqsam
ishq ki dhun mein aankhein naghma gaati hain
ghol mire jazbon mein sargam mi raqsam
· · ·
Fauziya Rabab
mujh ko to kuchh aur dikhaa hai aankhon ke us paar
tum batlaao aakhir kyaa hai aankhon ke us paar
sapnaa koi bikhar chukaa hai aankhon ke us paar
dariyaa jaise TuuT paDaa hai aankhon ke us paar
· · ·







