Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ghaibi Jaunpuri
use kyaa bhalaa khauf-e-tufaan hogaa
khudaa jis kaa yaaro nigahbaan hogaa
vo insaan kyaa khaak insaan hogaa
jo dard-e-mohabbat se anjaan hogaa
· · ·
Ghaibi Jaunpuri
chaman vaalo chaman ki daastaan kuchh aur kahti hai
jo sach puchho nigaah-e-baaghbaan kuchh aur kahti hai
ye maanaa fasl-e-gul hai auj par rang-e-bahaaraan hai
magar mujh se fazaa-e-gulsitaan kuchh aur kahti hai
· · ·
Ghaibi Jaunpuri
jin kaa unchaa maqaam hotaa hai
un kaa duniyaa mein naam hotaa hai
ham ne dekhaa hai mai-kade ke sivaa
har jagah khaas-o-'aam hotaa hai
· · ·
Ghaibi Jaunpuri
kaun samjhegaa aah-o-fughaan kaun hai
is chaman mein miraa ham-zabaan kaun hai
kis se ummid-e-daad-e-sukhan main rakhun
ahl-e-fan mein miraa qadr-daan kaun hai
· · ·
Ghaibi Jaunpuri
is tarah se bazm mein li us ne angDaai ki bas
ho gae shaikh-e-haram bhi aise shaidaai ki bas
mai-kade par is tarah kaali ghaTaa chhaai ki bas
toD di tauba tabi'at aisi lalchaai ki bas
· · ·
Ghaibi Jaunpuri
saaqiyaa kaun gayaa ruuTh ke maikhaane se
jaam mil mil ke gale rote hain paimaane se
hai vahi kashmakash-e-zist kaa 'aalam ab tak
baar-e-gham aaj bhi kam ho na sakaa shaane se
· · ·
Ghaibi Jaunpuri
saaf rukh par jamaa ghubaar karo
aaine ko na sangsaar karo
lutf deti nahin adhuri baat
tiir maaro to dil ke paar karo
· · ·
Ghaibi Jaunpuri
khudaa jaane kahaan ye fikr kaa rahvaar le jaae
samundar mein Dubaa de yaa samundar paar le jaae
lagaanaa ho jise apne safine ko kinaare se
main de dungaa magar vo maang kar patvaar le jaae
· · ·
Ghaibi Jaunpuri
chain se baiThne deti hi nahin ek nafas
kahin aavaaz-e-azaan aur kahin shor-e-jaras
khuun insaanon kaa piine pe tule baiThe hain
kahin masjid ke manaare kahin mandir ke kalas
· · ·







