Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Hasan Najmi Sikandarpuri
ahl-e-havas ke haathon na ye kaarobaar ho
aabaad hon sitaare zamin regzaar ho
ik shaan ye bhi jiine ki hai ji rahe hain log
tufaan se lagaao samundar se pyaar ho
· · ·
Hasan Najmi Sikandarpuri
har zakhm-e-dil se anjuman-aaraai maang lo
phir shahr-e-pur-hujum se tanhaai maang lo
mausam kaa zulm sahte hain kis khaamushi ke saath
tum pattharon se tarz-e-shakebaai maang lo
· · ·
Hasan Najmi Sikandarpuri
koi ghamgin koi khush ho kar sadaa detaa rahaa
raat shahr-e-dil kaa har manzar sadaa detaa rahaa
sangsaari ki sazaa Thahri thi jin ke vaaste
un ko pahle hi se har patthar sadaa detaa rahaa
· · ·
Hasan Najmi Sikandarpuri
log subh o shaam ki nairangiyaan dekhaa kiye
aur ham chup-chaap maazi ke nishaan dekhaa kiye
aql to karti rahi daamaan-e-hasti chaak chaak
ham magar dast-e-junun mein dhajjiyaan dekhaa kiye
· · ·
Hasan Najmi Sikandarpuri
aainon se pahle bhi rasm-e-khud-numaai thi
dil shikaar hote the aisi dilrubaai thi
phuul phuul baam-o-dar raaste hain gul-paikar
vo udhar se guzre the yaa bahaar aai thi
· · ·
Hasan Najmi Sikandarpuri
ishq ko paas-e-vafaa aaj bhi karte dekhaa
ek patthar ke liye ji se guzarte dekhaa
past ghaaron ke andheron mein jo le jaati hain
vo uDaanein bhi to insaan ko bharte dekhaa
· · ·
Hasan Najmi Sikandarpuri
aaine se na Daro apnaa saraapaa dekho
vaqt bhi ek musavvir hai tamaashaa dekho
kar lo baavar koi laayaa hai ajaaib-ghar se
jab kisi jism pe hanstaa huaa chehraa dekho
· · ·
Hasan Najmi Sikandarpuri
biite hue lamhon ke jo girvida rahe hain
haalaat ke haathon vahi ranjida rahe hain
in jalvon se maamur hai duniyaa mire dil ki
aainon ki basti mein jo naadida rahe hain
· · ·







