Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Hasrat Azimabadi
kab talak ham ko na aavegaa nazar dekhein to
kaise tarsaataa hai ye dida-e-tar dekhein to
ishq mein us ke ki guzre hain sar o jaan se ham
apni kis taur se hoti hai guzar dekhein to
· · ·
Hasrat Azimabadi
hai yaad tujh se meraa vo sharh-e-haal denaa
aur sun ke teraa us ko hans hans ke Taal denaa
kar kar ke yaad us ki behaal huun nihaayat
fursat zaraa tu mujh ko tu ai khayaal denaa
· · ·
Hasrat Azimabadi
aae hain ham jahaan mein gham le kar
dil-e-pur-khun o chashm-e-nam le kar
saaghar-e-mai kahaan hai ai gardun
kyaa karein teraa jaam-e-jam le kar
· · ·
Hasrat Azimabadi
kare aashiq pe vo bedaad jitnaa us kaa ji chaahe
rakhe dil ko mire naashaad jitnaa us kaa ji chaahe
hamein bhi sabr khaatir-khvaah daad-e-haq hai ulfat mein
vo de jaur o jafaa ki daad jitnaa us kaa ji chaahe
· · ·
Hasrat Azimabadi
har taraf hai us se mere dil ke lag jaane mein dhuum
bulbul-o-gul mein hai chah-chah sham-o-parvaane mein dhuum
fitna-gar hai naaz-o-ishva us ki chashm-e-shokh mein
juun machaavein pi ke mai badmast mai-khaane mein dhuum
· · ·
Hasrat Azimabadi
rakhaa paa jahaan mein nagaaraa zamin par
bahut sar ko vaan ham ne maaraa zamin par
junun josh maare hai divaar-o-dar se
huaa kis pari kaa guzaaraa zamin par
· · ·
Hasrat Azimabadi
'ishq mein gul ke jo naalaan bulbul-e-ghamnaak hai
gul bhi us ke gham mein dekho kyaa garebaan-chaak hai
daagh-bar-daagh ashk-bar-ashk apni chashm o dil mein hain
kyaa balaa gul-khez ai yaaro ye musht-e-khaak hai
· · ·
Hasrat Azimabadi
vafaa ke hain khvaan par nivaale ze-aaab avval duvam ba-aatish
bhare hai saaqi yahaan pyaale ze-aab avval duvam ba-aatish
chaman mein josh-e-junun ke hain ashk aur daagh-e-darun se apne
karun shagufta gul aur laale ze-aab avval duvam ba-aatish
· · ·
Hasrat Azimabadi
raah-raste mein tu yuun rahtaa hai aa kar ham se mil
kam gayaa lekin vo yaar-e-khaangi ghar ham se mil
dil taDaptaa hai paDaa is sina-e-sad-chaak mein
khol kar band-e-qabaa tu ai saman-bar ham se mil
· · ·
Hasrat Azimabadi
ek-dam khushk miraa dida-e-tar hai ki nahin
maajare se mire tujh ko bhi khabar hai ki nahin
yuun to uThte hai mire dil se hazaaron naale
lekin in khaana-kharaabon mein asar hai ki nahin
· · ·
Hasrat Azimabadi
in donon ghar kaa khaana-khudaa kaun ghair hai
shaikh-e-haram abas the inkaar-e-dair hai
ai yaar-e-be-khabar tu miri le na le khabar
vird-e-zabaan tiraa hi mujhe zikr-e-khair hai
· · ·
Hasrat Azimabadi
kam-tar yaa beshtar gae ham
us dar se ba-chashm-e-nam gae ham
ik gul na chunaa ham us chaman se
le apnaa hi musht-e-par gae ham
· · ·
Hasrat Azimabadi
dekhein tujhe na aaveinge ham
kahnaa nahin kar dikhaaveinge ham
ye jaur koi uThaave kab tak
uTh dar hi se tere jaaveinge ham
· · ·
Hasrat Azimabadi
jo hamein chaahe us ke chaakir hain
yaar-e-shaatir na baar-e-khaatir hain
yaad hai ham se pyaar se kahnaa
tujh se ham sab tarah se haazir hain
· · ·
Hasrat Azimabadi
azizo tum na kuchh us ko kaho huaa so huaa
nipaT hi tund hai zaalim ki khu huaa so huaa
khataa se us ki nahin naam ko ghubaar-e-malaal
main ro ro Daalaa hai sab dil se dho huaa so huaa
· · ·
Hasrat Azimabadi
us zulf se dil ho kar aazaad bahut royaa
ye silsila-e-ulfat kar yaad bahut royaa
rahm us ko na thaa hargiz har chand bahaal-e-sag
us kuche mein main kar kar fariyaad bahut royaa
· · ·
Hasrat Azimabadi
na chhuTaa haath se yak lahza garebaan meraa
chashm-e-tar hi pe rahaa gosha-e-daamaan meraa
jis taraf guzre kare ru-e-zamin ko gulzaar
sair-e-gulshan se phire jab gul-e-khandaan meraa
· · ·
Hasrat Azimabadi
jis kaa mayassar na thaa bhar ke nazar dekhnaa
kahtaa hai khat aae par Tuk to idhar dekhnaa
bolaa vo hans ke ki haan dekhe hain tujh se bahut
main jo kahaa hai gharaz mujh ko magar dekhnaa
· · ·
Hasrat Azimabadi
yaar ibtidaa-e-ishq se be-zaar hi rahaa
bedard dil ke dar piye aazaar hi rahaa
jis din se dost rakhtaa huun us ko hijaab-e-husn
apnaa hamesha dushman-e-didaar hi rahaa
· · ·
Hasrat Azimabadi
gar ishq se vaaqif mare mahbub na hotaa
hotaa na main mahjur vo mahjub na hotaa
aafat-talab apne jo dil o diida na hote
taalib main tiraa tu miraa matlub na hotaa
· · ·
Hasrat Azimabadi
yaa ilaahi miraa dildaar salaamat baashad
vo vali nemat-e-didaar salaamat baashad
nek-o-bad se hai miri khaatir-e-naashaad aazaad
gham-gusaar apnaa gham-e-yaar salaamat baashad
· · ·
Hasrat Azimabadi
meri us pyaari jhab se aankh lagi
us saraapaa ajab se aankh lagi
ishq mein khvaab kaa khayaal kise
na lagi aankh jab se aankh lagi
· · ·
Hasrat Azimabadi
ham aap ko to ishq mein barbaad kareinge
taasir-e-vafaa par tujhe kyaa yaad kareinge
yaan sakht dilon mein nahin hamdam koi apnaa
jaa koh mein farhaad ko fariyaad kareinge
· · ·
Hasrat Azimabadi
kab talak pivegaa tu tar-daamanon se mil ke mul
ek dam ai ghuncha-lab ham se kabhi to khil ke khul
be-sar-o-bargon ko kyaa nisbat hai sair-e-baagh se
daagh-e-dil hain ham tahi-dastaan-e-paa dar-gil ke gul
· · ·







