Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Hasrat Saharvardi
gulon se ishq gulistaan se pyaar karte rahe
bhari khizaan mein bhi zikr-e-bahaar karte rahe
hamaari be-khudi-e-shauq ki na puchho ki ham
tire qarib tiraa intizaar karte rahe
· · ·
Hasrat Saharvardi
ik musalsal gham kaa saamaan hai jahaan rahtaa huun main
fikr hairaan dil pareshaan hai jahaan rahtaa huun main
apne shaanon par uThaa ke apne armaanon ki laash
bad-tar-az-haivaan insaan hai jahaan rahtaa huun main
· · ·
Hasrat Saharvardi
mire dast-e-junun ki fitna-saamaani ko kyaa kahiye
ki ik aalam pareshaan hai pareshaani ko kyaa kahiye
jahaan-e-rang-o-bu ki vusatein vaqat nahin rakhtin
mire josh-e-takhayyul ki faraavaani ko kyaa kahiye
· · ·
Hasrat Saharvardi
khabar nahin ki zamin hain ki aasmaan hain ham
khabar nahin ki bhanvar hain ki baadbaan hain ham
na zaad-e-raah na himmat na manzil-e-maqsud
na jaane kaunsi manzil ke kaarvaan hain ham
· · ·
Hasrat Saharvardi
kis ko khoyaa hai kis ko paayaa hai
baarhaa ye khayaal aaya hai
zindagi ki karaahaton par bhi
ham ko aaya to pyaar aaya hai
· · ·
Hasrat Saharvardi
ik nae Dhang se tartib de maikhaane ko
saaqiyaa der na kar toD de paimaane ko
apni qismat mein kahaan vasl ki ghaDiyaan ai dost
ye ghanimat hai ki aa jaate hain maikhaane ko
· · ·
Hasrat Saharvardi
dushman-e-jaan se dushmani bhi nahin
jaan-e-jaanaan se dosti bhi nahin
ye taghaaful hai ye tajaahul hai
sach to ye hai ki saadgi bhi nahin
· · ·
Hasrat Saharvardi
kuchh tire intizaar ne maaraa
kuchh dil-e-be-qaraar ne maaraa
kuchh gham-e-dil ne kar diyaa majbur
kuchh gham-e-rozgaar ne maaraa
· · ·
Hasrat Saharvardi
kuchh is tarah bhi ham ne guzaari hai pyaar mein
dil mein hujum-e-yaas nigah intizaar mein
ab bazm-e-aish se bhi uThaa jaa rahaa hai dil
ab lutf aa rahaa hai gham-e-rozgaar mein
· · ·







