Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Iqbal Khawar
yunhi kabhi machal gae yunhi kabhi bahal gae
ham ko kahaan qaraar thaa tum se mile sanbhal gae
dil ki kabhi suni nahin aur kabhi to be-sabab
aankh zaraa si nam hui us ki taraf nikal gae
· · ·
Iqbal Khawar
zaraa badlaa nahin manzar vahi hai
vahi hai dasht ye lashkar vahi hai
nai hai kuchh badan mein be-qaraari
magar kamra vahi bistar vahi hai
· · ·
Iqbal Khawar
aasmaan surkh huaa naala-e-shab-gir ke baad
haal-e-dil us pe khulaa hai baDi taakhir ke baad
talab-e-khvaab mein kitni thiin pareshaan aankhein
kitni hairaan hain ab khvaab ki taabir ke baad
· · ·
Iqbal Khawar
baDhe zaraa jo ye mauj-e-vahshat to ham bhi koi kamaal kar lein
kisi ko koi javaab de dein kisi se koi savaal kar lein
us ek sone se ghar ke ai dil rakhaa hi kyaa hai ab us gali mein
ki jaaein karne ko zakhm taaza aur apni aankhon ko laal kar lein
· · ·
Iqbal Khawar
tum jahaan the vahaan ke the hi nahin
yaani tum is jahaan ke the hi nahin
kaise uljhe hain kaar-e-duniyaa mein
ham jo sud-o-ziyaan ke the hi nahin
· · ·
Iqbal Khawar
gali gali tiri shohrat nahin karungaa main
ab aisi hijr mein haalat nahin karungaa main
hamesha kaam bigaaDaa hai be-qaraari ne
vo ab milegaa to ujlat nahin karungaa main
· · ·
Iqbal Khawar
mizaaj-e-shahr jo tahrir karne nikle hain
ham apne aap ko dil-gir karne nikle hain
nikal ke khvaab-saraa se bujhaa ke chashm-e-gumaan
khayaal-o-khvaab ko taabir karne nikle hain
· · ·
Iqbal Khawar
kabhi utrein agar poshaak ke rang
falak dekhegaa meri khaak ke rang
baDi mushkil mein hai ab ye zamin-zaad
judaa kar khaak se aflaak ke rang
· · ·
Iqbal Khawar
ajiib rang liye aaj milne aayaa vo
zaraa si der mein lagne lagaa paraayaa vo
vahi gali hai vahi shaam hai vahi vahshat
par us dariche mein chehra na jhilmilaayaa vo
· · ·
Iqbal Khawar
raqs karnaa tiraa kis ne dekhaa yahaan ye havaa aur hai vo fazaa aur thi
ai miri sarkhushi vahshat-e-jism-o-jaan ye havaa aur hai vo fazaa aur thi
is gali us gali mujh ko le kar phire ab vo vahshat nahin ab vo haalat nahin
hai dhDaknaa ajab mere dil kaa yahaan ye havaa aur hai vo fazaa aur thi
· · ·
Iqbal Khawar
khvaab le kar kahaan nikal aae
tum yahaan raaegaan nikal aae
dil yahaan se uchaaT ho jaataa
log kuchh mehrbaan nikal aae
· · ·
Iqbal Khawar
kabhi to is aab-o-havaa ko badal kar
mujhe dekh khud se tu baahar nikal kar
tamaashaa nahin hai faqat teri duniyaa
khulaa bhed mujh par ye ghar se nikal kar
· · ·
Iqbal Khawar
ajab marhalon se guzaaraa gayaa main
phir is khaak-daan par utaaraa gayaa main
zarurat nahin thaa main din bhar kisi ki
jahaan shaam aai pukaaraa gayaa main
· · ·
Iqbal Khawar
is kharaabe mein kahin hain ham bhi
be-khabar dekh yahin hain ham bhi
tere hone se tamaashaa saaraa
tu nahin hai to nahin hain ham bhi
· · ·
Iqbal Khawar
rang us kaa nayaa nazar aayaa
shaam thaa dhuup saa nazar aayaa
vahi kamra vahi thaa sab saamaan
vo magar dusraa nazar aayaa
· · ·







