Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Irfaan Tarique Khan
bas tere baare mein sochaa kartaa huun
yuun tanhaai ko main tanhaa kartaa huun
ik achchhaai mujh mein ab bhi hai baaqi
jhagDe vaali baat ko Taalaa kartaa huun
· · ·
Irfaan Tarique Khan
yuun to apni duniyaa mein pahchaan nahin
sach kahtaa huun main chaahe tu maan nahin
khul kar bolo jo bhi tum ko kahnaa hai
mere ghar ki divaaron ke kaan nahin
· · ·
Irfaan Tarique Khan
dil ko aise luuT gayaa hai
jaise shisha TuuT gayaa hai
aaj ke daur ko dekh le tu bhi
sach se aage jhuuT gayaa hai
· · ·
Irfaan Tarique Khan
sab kahte hain patthar dil hai
is patthar ke andar dil hai
apni marzi se jiitaa hai
mazhab se bhi kaTTar dil hai
· · ·
Irfaan Tarique Khan
miTTi kaa guDDaa ho jaise
lahron se TuuTaa ho jaise
khud hi khud mein kho jaataa hai
khud se vo miltaa ho jaise
· · ·
Irfaan Tarique Khan
dekh mahina aayaa hai kyaa saavan kaa
phuul khilaa hai bhige bhige joban kaa
saare paude sahme sahme baiThe hain
jaise maano peD giraa ho aangan kaa
· · ·
Irfaan Tarique Khan
roz nae kartab dikhlaae jaadugar
duniyaa kaa matlab samjhaae jaadugar
tum kahte ho har dam hanstaa rahtaa hai
aansu par paivand lagaae jaadugar
· · ·
Irfaan Tarique Khan
yaarab ye kaisaa manzar hai
sab ke haathon mein khanjar hai
baahar se kyaa dekh rahe ho
dil to siine ke andar hai
· · ·







