Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ishaq Nashad
do roz mein shabaab kaa aalam guzar gayaa
gulshan mein ek phuul khilaa aur bikhar gayaa
uDne lagi hai raah-e-tamannaa mein dhuul si
ye kis ke saath mausam-e-armaan guzar gayaa
· · ·
Ishaq Nashad
gulshan-e-ummid yuun ujDaa ki sahraa ho gayaa
us ne aankhein pher liin har su andheraa ho gayaa
mauj-ta-ba-mauj phaili hai bisaat-e-kaaenaat
pyaas jab Duubi samundar aur gahraa ho gayaa
· · ·
Ishaq Nashad
zikr-e-gham par malaal kyon aaya
shisha-e-dil mein baal kyon aaya
mutmain huun main haalat-e-dil par
tumhein meraa khayaal kyon aaya
· · ·
Ishaq Nashad
junun-e-shauq mein aashufta-saamaanon pe kyaa guzri
khirad-mandon pe kyaa biiti garebaanon pe ki guzri
vo jin ke khuun se rangin tumhaari bazm-e-ishrat hai
kabhi sochaa hai un majbur insaanon pe kyaa guzri
· · ·
Ishaq Nashad
kisi raahbar ki hai justuju kisi rahnumaa ki talaash hai
jo sharik-e-mauj-e-hayaat ho usi naakhudaa ki talaash hai
na rukh-e-sanam ki hai aarzu na dar-e-khudaa ki talaash hai
jo shuur-e-karb ataa kare usi dilrubaa ki talaash hai
· · ·
Ishaq Nashad
mire khulus kaa jab aap ko khayaal nahin
mujhe bhi tark-e-taalluq kaa kuchh malaal nahin
hain zakhm-e-shauq miri zindagi kaa sarmaaya
huun mutmain ki mujhe fikr-e-indimaal nahin
· · ·
Ishaq Nashad
dard siine mein uThe bhi to dabaae rakhnaa
gham-e-haalaat se har lamha nibhaae rakhnaa
apne ehsaas ko aandhi se bachaae rakhnaa
is andhere mein koi shama jalaae rakhnaa
· · ·
Ishaq Nashad
yahaan ishq mast-e-alast hai yahaan shakl kyaa yahaan naam kyaa
ye jahaan-e-mauj-e-khayaal hai yahaan aql-o-fikr se kaam kyaa
rah-e-ishq ki ye tajalliyaan yahaan gum hue kai kaarvaan
kai pech-o-kham hain yahaan vahaan kisi jaa pe koi qiyaam kyaa
· · ·
Ishaq Nashad
ye kaisi fasl-e-bahaar aai gulon kaa siina figaar saa hai
har ik nazar hai sukun se aari har ek dil be-qaraar saa hai
chaman ke jo paasbaan hain sochein isi ko kahte hain kyaa gulistaan
shafaq mein shaamil hai gham ki surkhi ufuq pe khun-e-bahaar saa hai
· · ·







