Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Ishrat Kiratpuri
aankhon mein mire gham ki tasvir sanjo loge
ye baat na sochi thi daaman ko bhigo loge
tum tark-e-taalluq ko kyuun chehre pe likh laae
tum ne to kahaa ye thaa ye raaz na khologe
· · ·
Ishrat Kiratpuri
raaton kaa karb din ki thakan mere saath hai
yaadon kaa ik darida kafan mere saath hai
barson se jal rahaa huun main qurbat ki aag mein
naa-qaabil-e-bayaan chalan mere saath hai
· · ·
Ishrat Kiratpuri
the mizaajan ham bhi harjaai bahut
par dakan vaalon ki yaad aai bahut
dil ke milne aur luTne ke liye
ek lamhe ki shanaasaai bahut
· · ·
Ishrat Kiratpuri
zikr ghairon se tumhaaraa nahin hogaa mujh se
ye taaaruf bhi gavaara nahin hogaa mujh se
mere maulaa miri aankhon mein samundar de de
chaar bundon pe guzaara nahin hogaa mujh se
· · ·
Ishrat Kiratpuri
barson tapish-e-gham mein ye ehsaas jale hai
tab jaa ke kahin she'r ke saanche mein Dhale hai
kuchh aise teri bazm mein baiThaa huun akelaa
jis tarah sar-e-raah koi shama jale hai
· · ·
Ishrat Kiratpuri
mummy banaa ke na show-case mein sajaao mujhe
main ek laash huun dafnaao yaa jalaao mujhe
ye maslahat hi nahin vaqt kaa taqaaza hai
khushi ke din ki tarah tum bhi bhuul jaao mujhe
· · ·
Ishrat Kiratpuri
sahn-e-maqtal mein har ik zakhm-e-tamannaa rakh do
aur qaatil kaa nayaa naam masihaa rakh do
ab to rusvaai ki had mein hai meri tishna-labi
ab to honThon pe dahaktaa huaa shoala rakh do
· · ·
Ishrat Kiratpuri
shikva nahin hai is kaa ki tum ne bhulaa diyaa
achchhaa kiyaa ki raah kaa patthar haTaa diyaa
gham ko nashaat-e-zist kaa unvaan banaa diyaa
us ne miri vafaa kaa ajab saa sila diyaa
· · ·
Ishrat Kiratpuri
avvalin shart hai insaan kaa insaan honaa
baad ki baat hai hindu yaa musalmaan honaa
jo bhi aataa hai vo kaliyon ko masal jaataa hai
ik hasin khel hai gulshan kaa nigahbaan honaa
· · ·
Ishrat Kiratpuri
kis saadgi se chhoD diyaa hai bahaav par
haalaan ki ham savaar hain kaaghaz ki naav par
ham khilkhilaa ke hanste hain har taaza ghaav par
kuchh log mo'tariz hain isi rakh-rakhaav par
· · ·
Ishrat Kiratpuri
ye shahr hai anjaan kahaan raat guzaarun
hai jaan-na-pahchaan kahaan raat guzaarun
daaman mein liye phirtaa huun main daulat-e-gham ko
ghaafil hai nigahbaan kahaan raat guzaarun
· · ·
Ishrat Kiratpuri
milo to aise andheron ko bhi pata na lage
chalo to aise ke jismon mein faasla na lage
main aaj gaanv mein chhoDe to jaa rahaa huun tumhein
duaa karo ki mujhe shahr ki havaa na lage
· · ·
Ishrat Kiratpuri
hijr degaa na kabhi gham ki ghaTaaein degaa
paas rakh kar mujhe qurbat ki sazaaein degaa
ye khilaune nahin rozi kaa vasila kar do
meraa bachcha tumhein din raat du'aaein degaa
· · ·







