SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJalee Amrohvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

basti basti kucha kucha shahr ko laala-faam kiyaa

dekho to in ahl-e-havas ne kaisaa qatl-e-aam kiyaa

ham to jahaan ke sultaanon se behtar us ko jaane hain

jis ne rukhi sukhi khaa kar gudDi mein aaraam kiyaa

· · ·

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

vahshaton mein 'ishq ki vo shaana farmaaeinge kyaa

zindagi uljhi hui hai baal suljhaaeinge kyaa

khud hi tum socho jo duniyaa mein asir-e-zaat hain

vo dukhon ki bhiiD mein aaraam pahunchaaeinge kyaa

· · ·

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

donon aalam se ayaan thaa mujhe maalum na thaa

tu hi to jalva-kunaan thaa mujhe maalum na thaa

qalb-e-muztar mein mire mehr-o-vafaa ki surat

nuur kaa ek jahaan thaa mujhe maalum na thaa

· · ·

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

dil hai vaabasta miraa hasrat-e-naakaam ke saath

taaza ho jaate hain sab zakhm tire naam ke saath

us ne har halq-e-tamannaa pe chalaayaa khanjar

yuun hai paikaar miri gardish-e-ayyaam ke saath

· · ·

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

itnaa pur-josh mere dard kaa dhaaraa to na thaa

kyaa pas-e-parda kahin qurb tumhaaraa to na thaa

tum ne alqaab badal kar mujhe maktub likhaa

us taghayyur mein kahin talkh ishaaraa to na thaa

· · ·

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

vahm-o-gumaan ne aas bandhaai tamaam raat

aahaT khiraam-e-naaz ki aai tamaam raat

majbur ho ke main ne mohabbat ki chhaanv mein

taaron ko dil ki baat sunaai tamaam raat

· · ·

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

nafs se jo laDaa nahin karte

ruuh par vo jilaa nahin karte

kyuun na ho phir fasaad duniyaa mein

log khauf-e-khudaa nahin karte

· · ·

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

dast-e-naazuk se jo parde ko sanvaaraa tum ne

main ye samjhaa ki navaazish se pukaaraa tum ne

kyaa haqiqat mein gham-e-ishq se maanus hue

yaa yuun hi puchh liyaa haal hamaaraa tum ne

· · ·

GhazalJalee Amrohvi

Jalee Amrohvi

chhup gayaa suraj ye kah kar shaam se

le sabaq duniyaa mire anjaam se

ruuh ko ham ne hazaaron dukh diye

nafs ko rakkhaa baDe aaraam se

· · ·