Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Jalal Lakhnavi
de sanam hukm tu dar par tire haazir ho kar
paD rahe koi musalmaan bhi kaafir ho kar
chuTkiyaan lene ko bas rah chuke pinhaan dil mein
kabhi pahlu mein bhi aa baiThiye zaahir ho kar
· · ·
Jalal Lakhnavi
tasavvur ham ne jab teraa kiyaa pesh-e-nazar paayaa
tujhe dekhaa jidhar dekhaa tujhe paayaa jidhar paayaa
kahaan ham ne na is dard-e-nihaani kaa asar paayaa
yahaan uTThaa vahaan chamkaa idhar aayaa udhar paayaa
· · ·
Jalal Lakhnavi
kyuun vasl mein bhi aankh milaai nahin jaati
vo farq dilon kaa vo judaai nahin jaati
kyaa dhuum bhi naalon se machaai nahin jaati
soti hui taqdir jagaai nahin jaati
· · ·
Jalal Lakhnavi
jaane vaalaa iztiraab-e-dil nahin
ye taDap taskin ke qaabil nahin
jaan de denaa to kuchh mushkil nahin
jaan kaa khvaahaan magar ai dil nahin
· · ·
Jalal Lakhnavi
yaad aa ke tiri hijr mein samjhaaegi kis ko
dil hi nahin siine mein to bahlaaegi kis ko
dam khinchtaa hai kyuun aaj ye rag rag se hamaaraa
kyaa jaane idhar dil ki kashish laaegi kis ko
· · ·
Jalal Lakhnavi
miri shaaki hai khud meri fughaan tak
ki taalu se nahin lagti zabaan tak
koi hasrat hi le aae manaa kar
mire ruThe hue dil ko yahaan tak
· · ·
Jalal Lakhnavi
muddat ke baad munh se lagi hai jo chhuT kar
to ye bhi mai pe girti hai kyaa TuuT TuuT kar
mehndi thaa meraa khuun ki hotaa jo raaegaan
ik shab ke baad haath se qaatil ke chhuT kar
· · ·
Jalal Lakhnavi
mar ke bhi qaamat-e-mahbub ki ulfat na gai
ho chukaa hashr bhi lekin ye qayaamat na gai
shab ko mai khuub si pi subh ko tauba kar li
rind ke rind rahe haath se jannat na gai
· · ·
Jalal Lakhnavi
vo dil nasib huaa jis ko daagh bhi na milaa
milaa vo gham-kada jis mein charaagh bhi na milaa
gai thi kah ke main laati huun zulf-e-yaar ki bu
phiri to baad-e-sabaa kaa dimaagh bhi na milaa
· · ·
Jalal Lakhnavi
garebaan ko junun mein taa-ba-daaman chaak honaa thaa
javaab-e-jaada-e-sahraa-e-vahshat-naak honaa thaa
taghaaful ke gile sun kar jhukaa liin tum ne kyon aankhein
mire sharminda karne ko zaraa bebaak honaa thaa
· · ·
Jalal Lakhnavi
sad-shukr bujh gai tiri talvaar ki havas
qaatil yahi thi tere gunahgaar ki havas
murde ko bhi mazaar mein lene na degi chain
taa-hashr tere saaya-e-divaar ki havas
· · ·
Jalal Lakhnavi
paa-shikaston ko jab jab mileinge aap
sar-e-raah-e-talab mileinge aap
un se puchaa ki kab mileinge aap
bole jab jaan-ba-lab mileinge aap
· · ·
Jalal Lakhnavi
jafaa ki us se shikaayat zaraa nahin aati
vo yaad hi hamein shukr-e-khudaa nahin aati
nikal ke taa-ba-lab aah-e-rasaa nahin aati
karaahtaa hai jo ab dil sadaa nahin aati
· · ·
Jalal Lakhnavi
na Theri jab koi taskin-e-dil ki shakl yaaron mein
to aa nikle taDap kar ham tumhaare be-qaraaron mein
kisi ke ishq mein dard-e-jigar se dil ye kahtaa hai
idhar bhi aa nikalnaa ham bhi hain ummidvaaron mein
· · ·
Jalal Lakhnavi
subh ho shaam judaai ki ye mumkin hi nahin
hijr ki raat vo hai jis ke liye din hi nahin
subh karnaa shab-e-gham kaa kabhi mumkin hi nahin
aa ke din pher de apne vo koi din hi nahin
· · ·
Jalal Lakhnavi
be-baak na dekhaa koi qaatil ke baraabar
sharm aankh mein paai na gai til ke baraabar
dushman koi ai yaar miraa aur tiraa dost
hogaa na zamaane mein mire dil ke baraabar
· · ·
Jalal Lakhnavi
shab-e-vaada hai tu hai aur main huun
hujum-e-aarzu hai aur main huun
dil-e-begaana-khu hai aur main huun
baghal mein ik adu hai aur main huun
· · ·







