Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Jamshed Masroor
jab jaan pe lab-e-jaanaan ki mahak ik baarish manzar ho jaae
ham haath baDhaaein aur is mein mahtaab gul-e-tar ho jaae
kab dil kaa laDakpan jaaegaa har vaqt yahi hai zid us ki
jo maange usi pal mil jaae jo soche vahin par ho jaae
· · ·
Jamshed Masroor
baahar damakti barf mein andar mahakti raat mein
us ke badan kaa phuul hai jaise havaa ke haat mein
khiDki se chhante chaand mein nazdik aatish-daan ke
zulfon kaa saaya oDh ke baiThi hain aankhein ghaat mein
· · ·
Jamshed Masroor
yaad ke darichon mein baarishon ke manzar hain
kis nagar ki baatein hain kin ruton ke manzar hain
ajnabi dayaaron mein shauq-e-did le jaao
kuchh nahin to har jaanib dilbaron ke manzar hain
· · ·
Jamshed Masroor
shauq ke shahr-e-tamannaa ke Thikaane guzre
raat phir zehn se kuchh khvaab puraane guzre
chaand jab jhiil mein utraa to manaazir ki tarah
mujh ko chhukar tire baazu tire shaane guzre
· · ·
Jamshed Masroor
dil sulagtaa hai na ab yaad koi aati hai
gard si hai jo khayaalon pe jami jaati hai
duur peDon se ulajhti hai har aandhi lekin
zard patton ko mire ghar mein uThaa laati hai
· · ·
Jamshed Masroor
tanhaa har ek rah se guzar jaanaa chaahiye
jaise jiye hain vaise hi mar jaanaa chaahiye
jaane ye dil kaa dard kahaan tak sataaegaa
dariyaa chaDhe to us ko utar jaanaa chaahiye
· · ·
Jamshed Masroor
haT ke us rah se jo hai vaqf bas inkaar ke naam
aao phir sher kahein gesu-e-dildaar ke naam
zahr-e-gham le to chalaa jaan ko magar tishna-labi
jura ik aur tamannaa-e-lab-e-yaar ke naam
· · ·
Jamshed Masroor
ye kis maqaam-e-tamannaa se dil guzarne lagaa
havaa hai jism mein ik zahr saa utarne lagaa
ulajh rahaa hai tiri bu-e-pairahan se badan
ki phuul halqa-e-baazu kaa kaam karne lagaa
· · ·
Jamshed Masroor
dil kaa ahvaal zamaane pe ayaan ho saktaa
lafz ai kaash tamannaa ki zabaan ho saktaa
ye samajhte hi nahin dard kaa baais kyaa hai
meraa dil kaash dil-e-chaara-garaan ho saktaa
· · ·
Jamshed Masroor
kaliyon ki tarah dhulaa dhulaa hai
vo jism shumaal mein banaa hai
gul-baar hain zulf o shaana us ke
qaamat mein vo tavil o dilrubaa hai
· · ·







