Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Jawed Adil Sohavi
saraab-e-zoam mein thaa aasmaan pakaDte hue
zamin pe tifl giraa hai dhuaan pakaDte hue
saron pe taan gai dhuup phir se tez huaa
ravaa-ravi mein kai saaebaan pakaDte hue
· · ·
Jawed Adil Sohavi
is tarah haajat-e-asir na khinch
bhiik de kaasa-e-faqir na khinch
rahm kar kuchh to dast-e-majburi
jaan le le magar zamir na khinch
· · ·
Jawed Adil Sohavi
nagar yaqin kaa shahr-e-gumaan se aage hai
jahaan hamaaraa tumhaare jahaan se aage hai
shikam mein bhuuk paron mein havaaein rakh taair
bahut saa rizq abhi aasmaan se aage hai
· · ·
Jawed Adil Sohavi
kamaan mein khinch hai pahle si aur na tiir mein rang
lahu bahegaa to aaegaa ju-e-shir mein rang
junun-e-husn-parasti bhi de diyaa yaarab
ki pahle kam to nahin the mire khamir mein rang
· · ·
Jawed Adil Sohavi
adu to chhoD diye khair-khvaah maar diye
muhaafizon ne kai be-gunaah maar diye
bahut sataae hue lashkaron ki haibat ne
darun-e-qasr kai baadshaah maar diye
· · ·
Jawed Adil Sohavi
ziyaa-e-rang bhi kuchh to dosti karo yaar
bahut andheraa hai kamre mein raushni karo yaar
yahaan faraaghatein baar-e-garaan hain rishton par
qaraabaton kaa taqaazaa hai naukri karo yaar
· · ·
Jawed Adil Sohavi
ham abhi pakke adaakaar nahin hain bhaai
is liye laaeq-e-dastaar nahin hain bhaai
ye jo har roz kaa ronaa hai hamaaraa ronaa
ham mohabbat mein samajhdaar nahin hain bhaai
· · ·
Jawed Adil Sohavi
mire dil ne di hai tujhe sadaa main kai dinon se udaas huun
tu kai dinon se nahin milaa main kai dinon se udaas huun
dil-e-muztarib mire paas thaa mujhe gham azal se hi raas thaa
main kai dinon se udaas thaa main kai dinon se udaas huun
· · ·







