SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKaifi Azmi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

kyaa jaane kis ki pyaas bujhaane kidhar gaiin

is sar pe jhuum ke jo ghaTaaein guzar gaiin

divaana puchhtaa hai ye lahron se baar baar

kuchh bastiyaan yahaan thiin bataao kidhar gaiin

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

itnaa to zindagi mein kisi ke khalal paDe

hansne se ho sukun na rone se kal paDe

jis tarah hans rahaa huun main pi pi ke garm ashk

yuun dusraa hanse to kaleja nikal paDe

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

yunhi koi mil gayaa thaa sar-e-raah chalte chalte

vahin tham ke rah gai hai miri raat Dhalte Dhalte

jo kahi gai na mujh se vo zamaana kah rahaa hai

ki fasaana ban gai hai miri baat Talte Talte

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

kahin se lauT ke ham laDkhaDaae hain kyaa kyaa

sitaare zer-e-qadam raat aae hain kyaa kyaa

nasheb-e-hasti se afsos ham ubhar na sake

faraaz-e-daar se paighaam aae hain kyaa kyaa

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

laai phir ik laghzish-e-mastaana tere shahr mein

phir baneingi masjidein mai-khaana tere shahr mein

aaj phir TuTeingi tere ghar ki naazuk khiDkiyaan

aaj phir dekhaa gayaa divaana tere shahr mein

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

vo bhi saraahne lage arbaab-e-fan ke baad

daad-e-sukhan mili mujhe tark-e-sukhan ke baad

divaana-vaar chaand se aage nikal gae

Thahraa na dil kahin bhi tiri anjuman ke baad

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

aaj sochaa to aansu bhar aae

muddatein ho gaiin muskuraae

har qadam par udhar muD ke dekhaa

un ki mahfil se ham uTh to aae

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

main DhunDtaa huun jise vo jahaan nahin miltaa

nai zamin nayaa aasmaan nahin miltaa

nai zamin nayaa aasmaan bhi mil jaae

nae bashar kaa kahin kuchh nishaan nahin miltaa

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

jhuki jhuki si nazar be-qaraar hai ki nahin

dabaa dabaa saa sahi dil mein pyaar hai ki nahin

tu apne dil ki javaan dhaDkanon ko gin ke bataa

miri tarah tiraa dil be-qaraar hai ki nahin

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

tum itnaa jo muskuraa rahe ho

kyaa gham hai jis ko chhupaa rahe ho

aankhon mein nami hansi labon par

kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

bahaaro meraa jivan bhi sanvaaro

koi aae kahin se yuun pukaaro

tumhin se dil ne sikhaa hai taDapnaa

tumhin ko dosh dungi ai nazaaro

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

laai phir ik laghzish-e-mastaana tere shahr mein

phir baneingi masjidein mai-khaana tere shahr mein

aaj phir TuTeingi tere ghar ki naazuk khiDkiyaan

aaj phir dekhaa gayaa divaana tere shahr mein

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

patthar ke khudaa vahaan bhi paae

ham chaand se aaj lauT aae

divaarein to har taraf khaDi hain

kyaa ho gae mehrbaan saae

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

sunaa karo miri jaan in se un se afsaane

sab ajnabi hain yahaan kaun kis ko pahchaane

yahaan se jald guzar jaao qaafile vaalo

hain meri pyaas ke phunke hue ye viraane

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

yaa dil ki suno duniyaa vaalo yaa mujh ko abhi chup rahne do

main gham ko khushi kaise kah duun jo kahte hain un ko kahne do

ye phuul chaman mein kaisaa khilaa maali ki nazar mein pyaar nahin

hanste hue kyaa kyaa dekh liyaa ab bahte hain aansu bahne do

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

jo vo mire na rahe main bhi kab kisi kaa rahaa

bichhaD ke un se saliqa na zindagi kaa rahaa

labon se uD gayaa jugnu ki tarah naam us kaa

sahaaraa ab mire ghar mein na raushni kaa rahaa

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

haath aa kar lagaa gayaa koi

meraa chhappar uThaa gayaa koi

lag gayaa ik mashin mein main bhi

shahr mein le ke aa gayaa koi

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

ki hai koi hasin khataa har khataa ke saath

thoDaa saa pyaar bhi mujhe de do sazaa ke saath

gar Dubnaa hi apnaa muqaddar hai to suno

Dubeinge ham zarur magar naakhudaa ke saath

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

mile na phuul to kaanTon se dosti kar li

isi tarah se basar ham ne zindagi kar li

ab aage jo bhi ho anjaam dekhaa jaaegaa

khudaa talaash liyaa aur bandagi kar li

· · ·

GhazalKaifi Azmi

Kaifi Azmi

shor yunhi na parindon ne machaayaa hogaa

koi jangal ki taraf shahr se aayaa hogaa

peD ke kaaTne vaalon ko ye maalum to thaa

jism jal jaaeinge jab sar pe na saaya hogaa

· · ·