Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Kamran Nadeem
vahi sar hai vahi saudaa vahi vahshat hai miyaan
ab bhi aa jaao ki dil ki vahi khalvat hai miyaan
vusat-e-did simaTne hi nahin paati hai
chashm-e-aahu se hamein aaj bhi nisbat hai miyaan
· · ·
Kamran Nadeem
raat ko pahlu mein ik tasvir raushan ho gai
khvaab to dekhaa nahin taabir raushan ho gai
us but-e-kaafir ko jo dekhaa bahut nazdik se
naqsh-gar ki shokhi-e-tahrir raushan ho gai
· · ·
Kamran Nadeem
kharaaba aur hotaa hai kharaab aahista aahista
dayaar-e-dil pe aate hain azaab aahista aahista
savaal-e-vahshat-e-jaan ke javaab aahista aahista
but-e-kaafir uThaate hain naqaab aahista aahista
· · ·
Kamran Nadeem
phir chhalaktaa hai jaam vahshat kaa
shaah-e-khubaan salaam vahshat kaa
ek chashm-e-ghazaal karti hai
chaar-su ehtimaam vahshat kaa
· · ·
Kamran Nadeem
ridaa-e-jaan pe dohraa azaab buntaa huun
main roz jaagti aankhon mein khvaab buntaa huun
khayaal-e-husn ki makhmal pe taar-e-imkaan se
kabhi gulaab kabhi maahtaab buntaa huun
· · ·
Kamran Nadeem
nazar tak aayaa hai pahchaan tak nahin aayaa
ye vaahima abhi imkaan tak nahin aayaa
jaraahat-e-gham-e-dauraan ki ibtidaa kahiye
dil-e-jahaan-zada paikaan tak nahin aayaa
· · ·
Kamran Nadeem
ik tasalsul se raaigaani hai
zindagi bhi ajab kahaani hai
sar mein saudaa nayaa samaayaa hai
dil mein vahshat vahi puraani hai
· · ·
Kamran Nadeem
kisi vahshat mein phir aabaad honaa chaahtaa huun
main us ki qaid se aazaad honaa chaahtaa huun
puraani shakl surat gar malaamat ban gai hai
nai miTTi se phir ijaad honaa chaahtaa huun
· · ·
Kamran Nadeem
nazar aataa hai uThtaa jaan se dil se dhuaan mujh ko
dayaar-e-ishq mein rahnaa hai ik baar-e-garaan mujh ko
sitam-pesha mire afsaana-e-gham ko nahin suntaa
so kahnaa hai ba-andaaz-e-hadis-e-digaraan mujh ko
· · ·
Kamran Nadeem
aur manzar hain bahut chashm-e-kharidaar mein ab
khvaab bikte hi nahin shahr ke baazaar mein ab
shaam gul hoti chali jaati hai rafta rafta
sham-e-gul jalti nahin gulshan-e-didaar mein ab
· · ·
Kamran Nadeem
supurdagi kaa valvala jamaal mein nahin milaa
mujhe fusun-e-be-khudi visaal mein nahin milaa
jo aaine se kirchiyon ke darmiyaan kaa thaa safar
shikast-e-zaat ki kisi misaal mein nahin milaa
· · ·
Kamran Nadeem
vo jo ik fart-e-shaadmaani hai
hijr se vasl ki kahaani hai
vasl us kaa karaan se taa-ba-karaan
be-karaani si be-karaani hai
· · ·







