Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Khatir Ghaznavi
fariyaad bhi hai su-e-adab apne shahr mein
ham phir rahe hain mohr-ba-lab apne shahr mein
ab kyaa dayaar-e-ghair mein DhunDein ham aashnaa
apne to ghair ho gae sab apne shahr mein
· · ·
Khatir Ghaznavi
kis samt le gaiin mujhe is dil ki dhaDkanein
pichhe pukaarti rahin manzil ki dhaDkanein
go tere iltifaat ke qaabil nahin magar
milti hain tere dil se mire dil ki dhaDkanein
· · ·
Khatir Ghaznavi
har haqiqat ko gumaan tak sochun
main bahaaron ko khizaan tak sochun
guftugu talkh haqaaeq se bhi ho
khvaab hi khvaab kahaan tak sochun
· · ·
Khatir Ghaznavi
bastiyaan ho gaiin benaam-o-nishaan raaton-raat
aise tufaan bhi aae hain yahaan raaton-raat
ji mein aataa hai ki taabir tujhi se puchhein
ho gayaa khvaab tiraa jism-e-javaan raaton-raat
· · ·
Khatir Ghaznavi
jafaaein bakhsh ke mujh ko miri vafaa maangein
vo mere qatl kaa mujh hi se khun-bahaa maangein
ye dil hamaare liye jis ne ratjage kaaTe
ab is se baDh ke koi dost tujh se kyaa maangein
· · ·
Khatir Ghaznavi
tiri talab thi tire aastaan se lauT aae
khizaan-nasib rahe gulsitaan se lauT aae
ba-sad-yaqin baDhe hadd-e-gumaan se lauT aae
dil o nazar ke taqaaze kahaan se lauT aae
· · ·
Khatir Ghaznavi
tujh se mil kar is qadar apnon se begaane hue
ab to pahchaane nahin jaate hain pahchaane hue
but jinhein ham ne taraashaa aur khudaai saunp di
aa gae hain saamne patthar vahi taane hue
· · ·
Khatir Ghaznavi
ik tajassus dil mein hai ye kyaa huaa kaise huaa
jo kabhi apnaa na thaa vo ghair kaa kaise huaa
main ki jis ki main ne to dekhaa na thaa sochaa na thaa
sochtaa huun vo sanam meraa khudaa kaise huaa
· · ·
Khatir Ghaznavi
pahli mohabbaton ke zamaane guzar gae
saahil pe ret chhoD ke dariyaa utar gae
teri anaa niyaaz ki kirnein bujhaa gai
jazbe jo dil mein ubhre the sharminda kar gae
· · ·
Khatir Ghaznavi
hai garm mulkon kaa suraj tire jalaal ki gard
ghurur-e-kaahkashaan hai tire jamaal ki gard
mohabbaton ke kharaabon mein dhuup kam nikli
kabhi judaai ke kohre kabhi malaal ki gard
· · ·
Khatir Ghaznavi
fazaa kaa zarra zarra ishq ki tasvir thaa kal shab jahaan main thaa
main khud apni nazar mein saahib-e-tauqir thaa kal shab jahaan main thaa
jise dekhaa vo divaana thaa naqsh-e-dilnashin ke husn-e-aadil kaa
jise sochaa fanaa ke rang ki tafsir thaa kal shab jahaan main thaa
· · ·
Khatir Ghaznavi
vaa chashm-e-tamaashaa lab-e-izhaar silaa hai
koi pas-e-divaar mujhe dekh rahaa hai
miTTi to miri mar bhi chuki zinda sadaa hai
main chup huun magar dard miraa bol rahaa hai
· · ·
Khatir Ghaznavi
koi kali hai na ghuncha na gul baraa-e-sabaa
chaman mein kaanTe hain daaman bachaa ke aae sabaa
na ab tilism-e-bahaaraan na ab fusun-e-jamaal
vo lamhe khvaab hue khvaab bhuul jaae sabaa
· · ·
Khatir Ghaznavi
aarzuein naa-rasaai ru-ba-ru main aur tu
kyaa ajab qurbat thi vo bhi main na tu main aur tu
jhuTpuTaa khuni ufuq ki vusatein khaamoshiyaan
faasle do peD tanhaa hu-ba-hu main aur tu
· · ·
Khatir Ghaznavi
vahshaton kaa kabhi shaidaai nahin thaa itnaa
jaise ab huun tiraa saudaai nahin thaa itnaa
baar-haa dil ne tiraa qurb bhi chaahaa thaa magar
aaj ki tarah tamannaai nahin thaa itnaa
· · ·
Khatir Ghaznavi
insaan huun ghir gayaa huun zamin ke khudaaon mein
ab bastiyaan basaaungaa jaa kar khalaaon mein
yaadon ke naqsh kanda hain naamon ke ruup mein
ham ne bhi din guzaare darakhton ki chhaanv mein
· · ·
Khatir Ghaznavi
kaisi chali hai ab ke havaa tere shahr mein
bande bhi ho gae hain khudaa tere shahr mein
tu aur harim-e-naaz mein paa-basta-e-hinaa
ham phir rahe hain aabla-paa tere shahr mein
· · ·
Khatir Ghaznavi
jab us zulf ki baat chali
Dhalte Dhalte raat Dhali
un aankhon ne luuT ke bhi
apne uupar baat na li
· · ·







