Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Lateef Nazi
gham-e-jaanaan ayaan na ho jaae
zindagi raaegaan na ho jaae
tu nazar hi na aa khudaa ke liye
phir tamanna javaan na ho jaae
· · ·
Lateef Nazi
kyaa shab-e-gham miri basar na hui
tum na aae to kyaa sahar na hui
shaam-e-gham ki kabhi sahar na hui
jo duaa ki vo kaargar na hui
· · ·
Lateef Nazi
asiron kaa ajab kuchh haal ye sayyaad karte hain
kabhi dil shaad karte hain kabhi naashaad karte hain
jinhein dil mein basaayaa thaa jinhein ham yaad karte hain
hamaare dil ki duniyaa ko vahi barbaad karte hain
· · ·
Lateef Nazi
dost milte rahe manzil pe guzar hone tak
koi saathi na rahaa khatm-e-safar hone tak
yaa-ilaahi mujhe taufiq ataa kar aisi
har buraai se bachun umr basar hone tak
· · ·
Lateef Nazi
aa ke mahfil mein tiri gham se kinaaraa na huaa
mujh saa duniyaa mein koi dard kaa maaraa na huaa
aakhir ashkon ne hi sab haal-e-dil-e-zaar kahaa
kuchh zabaan se miri izhaar kaa yaaraa na huaa
· · ·
Lateef Nazi
un se jab bhi kalaam hotaa hai
dil ko dil se payaam hotaa hai
us ki nazron mein jo samaa jaae
bas vahi shaad-kaam hotaa hai
· · ·
Lateef Nazi
khabar bhi hai mohabbat ke parastaaron pe kyaa guzri
koi hai pochhne vaalaa ki bimaaron pe kyaa guzri
ayaadat se vo jab palTein to un se puchh le koi
vo kah deinge ba-khubi dil ke bimaaron pe kyaa guzri
· · ·
Lateef Nazi
kyon ho khaamosh maajraa kyaa hai
kuchh bataao tumhein huaa kyaa hai
zakhm hain daagh aur rusvaai
teri chaahat kaa aur sila kyaa hai
· · ·
Lateef Nazi
hijr ki raat hai viraana hai tanhaai hai
dil lagaane ki ajab ham ne sazaa paai hai
ik nae azm nae josh ko dekhaa ham ne
tere aashiq mein nai baat nazar aai hai
· · ·







