Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
M. Nasrullah Nasr
kahin gulaab kahin sabz ghaas rahne do
chaman ko mere zaraa khush-libaas rahne do
main khaar-o-khas hi sahi kuchh to kaam aaungaa
mujhe jalaao nahin ghar ke paas rahne do
· · ·
M. Nasrullah Nasr
jab bhi aataa hai miraa naam tire naam ke baa'd
log tufaan uThaa lete hain ilzaam ke baa'd
'aql hairaan hai us shakhs ki daanaai par
jis ne toDe kai asnaam hain asnaam ke baa'd
· · ·
M. Nasrullah Nasr
na aasmaan ko chhu kar na hi takaan ke baa'd
parind lauT ke aayaa hai kuchh uDaan ke baa'd
bichhaD ke maan se kaDi dhuup mein jale aksar
milaa sukun kahaan us ke saaebaan ke baa'd
· · ·
M. Nasrullah Nasr
takabbur kaa safina ai sitamgar Duub jaataa hai
anaa ke ek qatre mein samundar Duub jaataa hai
sadaa hai sarfaraazi khaaksaari ko zamaane mein
ki tinkaa tairtaa rahtaa hai patthar Duub jaataa hai
· · ·
M. Nasrullah Nasr
dil ko shohrat kaa talabgaar na hone diije
khud ko rusvaa sar-e-baazaar na hone diije
faaqa kar lijiye is shahr-e-jafaa mein lekin
kham anaa ki kabhi dastaar na hone diije
· · ·
M. Nasrullah Nasr
kal jo mumkin thaa aaj hai hi nahin
dard-mand ab samaaj hai hi nahin
us ko shak ki hai ek bimaari
aur shak kaa ilaaj hai hi nahin
· · ·
M. Nasrullah Nasr
charaaghon ko bujhaanaa chaahtaa hai
andheraa muskuraanaa chaahtaa hai
salaamat par nahin hain jis ke dekho
vo taare toD laanaa chaahtaa hai
· · ·
M. Nasrullah Nasr
koi suntaa nahin sahraa ki sadaa ho jaise
meri fariyaad bhi muflis ki duaa ho jaise
tere aane se ye ehsaas huaa hai mujh ko
baa'd muddat ke diyaa ghar mein jalaa ho jaise
· · ·
M. Nasrullah Nasr
khair ko khair shar ko shar kahnaa
sar qalam ho to ho magar kahnaa
dukh bashar kaa na jo bashar samjhe
us bashar ko na tum bashar kahnaa
· · ·
M. Nasrullah Nasr
kahin manzil kahin rasta puraanaa chhuT jaataa hai
safar mein ziist ke manzar suhaanaa chhuT jaataa hai
raqaabat kaa sabab bantaa hai aksar roz kaa milnaa
zaraa si baat pe milnaa-milaanaa chhuT jaataa hai
· · ·
M. Nasrullah Nasr
vo khud se duur hotaa jaa rahaa hai
bahut mashhur hotaa jaa rahaa hai
jise thaa naaz apni dilkashi par
vo shisha chuur hotaa jaa rahaa hai
· · ·
M. Nasrullah Nasr
judaa shajar se kisi barg ko havaa na kare
chaman mein baad-e-mukhaalif chale khudaa na kare
tamaam umr guzaari hai gham ki raahon mein
daraaz umr ho meri koi duaa na kare
· · ·







