Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mahir Bilgrami
hosh manzil kho ke manzil kaa pataa paate hain log
tark-e-lazzat mein to kuchh lazzat sivaa paate hain log
dard ke maaron ko hi dard-aashnaa paate hain log
be-vafaaon mein kahaan bu-e-vafaa paate hain log
· · ·
Mahir Bilgrami
agar na dard se is dil ko aashnaa karte
gham-e-hayaat kaa kis tarah tajziyaa karte
khudaa-na-khvaasta kashti jo Dubne lagti
sivaa khudaa ke bhalaa kyaa ye naakhudaa karte
· · ·
Mahir Bilgrami
tere divaane ne divaar mein dar kholaa hai
sar-e-aflaak nayaa baab-e-qamar kholaa hai
Dhal gayaa din bhi vahin raat ne Deraa Daalaa
thak ke rahrav ne jahaan rakht-e-safar kholaa hai
· · ·
Mahir Bilgrami
munfarid to hai tiraa koi muqaabil na huaa
koi makhluq bhi kaunain mein kaamil na huaa
ik tamaashaa vo bhi didaar ke qaabil na huaa
raqs-e-bismil jo sar-e-kucha-e-qaatil na huaa
· · ·
Mahir Bilgrami
lutf-e-hayaat-e-nau hai har ik inqalaab mein
hain asl zindagi ke maze pech-o-taab mein
yuun to bahut si baatein hain dil ki kitaab mein
lekin hai gham kaa tazkira har ek baab mein
· · ·
Mahir Bilgrami
lab-e-naazuk pe jab hansi aai
aag har-su bikherti aai
jaane kyaa baiThe baiThe yaad aayaa
rukh-e-aashiq pe taazgi aai
· · ·
Mahir Bilgrami
masti-e-do-aalam ik markaz pe simaT aai
so kar vo uThaa kuchh yuun letaa huaa angDaai
pur-shauq nazar meri kuchh dekh ke lalchaai
kuchh us ke ishaaron se vo hausla-afzaai
· · ·
Mahir Bilgrami
kuchh sham' se puchho na shab-e-taar se puchho
kyaa hijr mein biiti ye dil-e-zaar se puchho
sausan se na kuchh nargis-e-bimaar se puchho
taaraaji-e-gulshan kaa sabab khaar se puchho
· · ·
Mahir Bilgrami
pyaar kaa kaarobaar kartaa huun
sab ko duniyaa mein pyaar kartaa huun
khud pe main e'tibaar kartaa huun
pyaar kartaa thaa pyaar kartaa huun
· · ·







