Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mangal Naseem
miri ziist hai baDi mukhtasar tujhe kyaa pata tujhe kyaa khabar
hai qarib bujhne ko ye sharar tujhe kyaa pata tujhe kyaa khabar
mujhe chhoD kar sar-e-raah kal tu jo ajnabi saa gayaa nikal
mire dil pe kyaa na gai guzar tujhe kyaa pata tujhe kyaa khabar
· · ·
Mangal Naseem
jitnaa apnaa-pan hotaa hai
utnaa hi bandhan hotaa hai
apnaa jab dushman hotaa hai
kaisaa kaisaa man hotaa hai
· · ·
Mangal Naseem
mujh ko bataao kaisi ye duniyaa dikhaai di
ik tez ghumtaa huaa pahiya dikhaai di
nannhi si chiDiyaa baaz ke panjon mein dekh kar
sapne mein raat bhar mujhe biTiyaa dikhaai di
· · ·
Mangal Naseem
vo zakhm us ne haal mein jalte hue diye
rakhne paDe misaal mein jalte hue diye
puujaa ke thaal jaisaa vo chehra lagaa mujhe
do nain jaise thaal mein jalte hue diye
· · ·
Mangal Naseem
jaate hue vo bol kar ek aisaa sach gayaa
jo sach har ek shakhs kaa chehra khurach gayaa
mujh ko thaa ye khayaal ki us ne bachaa liyaa
us ko thaa ye malaal ki ye kaise bach gayaa
· · ·
Mangal Naseem
saath bhi un ke rahnaa mushkil
hijr bhi un kaa sahnaa mushkil
sab kuchh un se hi kahnaa hai
jin se kuchh bhi kahnaa mushkil
· · ·
Mangal Naseem
kuchh na duniyaa mein is ke sivaa rah gayaa
sirf nuqsaan yaa faaeda rah gayaa
haath main ne baDhaayaa jo us ki taraf
haath meraa baDhaa kaa baDhaa rah gayaa
· · ·
Mangal Naseem
is ki panaah le kabhi us ki panaah le
kar li na tu ne zindagi apni tabaah le
Thahraa diyaa na tujh ko hi sab ne gunaahgaar
le aur apne sar pe tu sab ke gunaah le
· · ·
Mangal Naseem
nahin ham mein koi an-ban nahin hai
bas itnaa hai ki ab vo man nahin hai
main apne aap ko suljhaa rahaa huun
tumhein le kar koi uljhan nahin hai
· · ·







