Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Meer Shamsuddeen Faiz
charaagh-e-daagh dil-e-sokhta jo ho raushan
patang phir kahin aankhon ko seinktaa na phire
jo ho tamaancha-e-mauj-e-nasim se aagaah
habaab sar pe liye kaasa-e-riyaa na phire
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
har barhaman bhi diid kaa mushtaaq hai so hai
us but ko paas-e-khaatir-e-ushshaaq hai so hai
mastur sau hijaab mein us kaa hai rukh magar
husn-o-jamaal shohra-e-aafaaq hai so hai
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
fidaa ho jis masihaa-e-zamaan par
dimaagh us kaa ho chauthe aasmaan par
buto aage khudaa ke bhi tumhaaraa
na laaeinge kabhu shikva zabaan par
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
jalva dikhlaati hai vahshat gardish-e-taqdir kaa
shola-e-javvaala halqa hai miri zanjir kaa
kaam maani se nahin surat-parasti ke sivaa
khat-e-rukhsaar-e-butaan khat hai miri taqdir kaa
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
jab se kisi sanam kaa afsaana jaante hain
har sang-o-khisht ko ham but-khaana jaante hain
ai shama-e-husn-o-khubi dil hai vahi hamaaraa
mahfil mein aap jis ko parvaana jaante hain
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
jab se pesh-e-nazar us yaar ki peshaani hai
surat-e-aaina haasil mujhe hairaani hai
khilat-e-baadshahi khilat-e-uryaani hai
sard saamaan miraa be-sard saamaani hai
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
main shahid-e-naaz huun maskan miraa madfan huaa
aaqibat meraa kafan meraa hi pairaahan huaa
martaba yaan past kaa baalaa pas-e-murdan huaa
sang-e-paa aakhir miraa sang-e-sar-e-madfan huaa
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
ham ne apne dil ko pesh-e-ru-e-jaanaan kar diyaa
aaina ko aaina dikhlaa ke hairaan kar diyaa
apni parchhaain se koson bhaagtaa huun in dinon
mujh ko vahshat ne zamaane se gurezaan kar diyaa
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
kyaa kahein tum se shab-e-gham ham pe kyaa kyaa ho gayaa
dil pighal kar bah gayaa paani kalejaa ho gayaa
zikr-e-chashm-e-mast se meraa kharaaba ho gayaa
mai-kade tak bhi nahin pahunchaa ki rusvaa ho gayaa
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
ho gae hain in dinon kuchh aql se maazur ham
hai jo nazdik apne us ko jaante hain duur ham
jis ne taalim-e-anal-haq di tujhe roz-e-alast
hain usi ustaad ke shaagird ai mansur ham
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
phirtaa huun bhaTaktaa koi rahbar nahin miltaa
hai vo nighraa us kaa mujhe ghar nahin miltaa
yaarab maraz-e-ishq hai yaa koi balaa hai
chain is dil-e-betaab ko dam bhar nahin miltaa
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
qadam qadam pe hai andaaz dilrubaai kaa
sitaara auj pe hai un ki zerpaai kaa
nahin hai paas masihaa ke bhi davaa is ki
kisi ko rog khudaayaa na ho judaai kaa
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
khvaahaan-e-mohabbat huun adaavat nahin aati
aataa hai mujhe shukr shikaayat nahin aati
vaan kaam to hote hain khushaamad se baraamad
kyaa fikr karein ham ko samaajat nahin aati
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
dasht mein aavaara ham ko shahr mein rusvaa kiyaa
kyaa kahein tum se suluk is ishq ne kyaa kyaa kiyaa
puchhte kyaa hain dam-e-takbir tu ne kyaa kiyaa
surat-e-aaina chehra aap kaa dekhaa kiyaa
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
maar Daalaa mujhe furqat ne qazaa se pahle
ho gayaa kaam adaa un ki adaa se pahle
sabqat ehsaan ko hai un ke mire isyaan par
afv karte hain khataa ko vo khataa se pahle
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
rashk-e-firdaus chaman hai apnaa
Hyderabad vatan hai apnaa
nisbat-e-gor-o-kafan bejaa hai
gor apni na kafan hai apnaa
· · ·
Meer Shamsuddeen Faiz
pesh-e-nazar hai nazaa mein naqsha-nigaar kaa
jalva khizaan dikhaati hai mujh ko bahaar kaa
surme se rutba kam nahin apne ghubaar kaa
hai sang-e-tur sang hamaari mazaar kaa
· · ·







