Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Moeen Kausar
kyunkar na apni jaan bachaaein guphaaon mein
talvaar jaisi kaaT hai bhigi havaaon mein
bas tum hi rah gae ho rivaayat ke paasdaar
itnaa khulus ab kahaan miltaa hai gaanv mein
· · ·
Moeen Kausar
bahut sukun hai qanaa'at ki zindagi se mujhe
qubul kar liyaa jo mil gayaa khushi se mujhe
vo aadmi jise samjhaa thaa main ne abr-e-karam
sulagtaa chhoD gayaa vo bhi khaamushi se mujhe
· · ·
Moeen Kausar
aise har shakhs se naaraaz khudaa rahtaa hai
jo azaan sun ke bhi bistar pe paDaa rahtaa hai
kyaa tumhein us ki 'adaavat kaa pata rahtaa hai
ye jo dariyaa hai samundar se milaa rahtaa hai
· · ·
Moeen Kausar
apnaa nahin aataa hai paraayaa nahin aataa
ghurbat mein koi puchhne vaalaa nahin aataa
paDhnaa nahin aataa jise likhnaa nahin aataa
is shakhs ki qismat mein ujaalaa nahin aataa
· · ·
Moeen Kausar
jab rasm zamaane ki nibhaai gai hogi
tab jaa ke kahin Doli uThaai gai hogi
jaan apni bilaa-vajh ganvaataa nahin koi
sasuraal mein bad-bakht sataai gai hogi
· · ·
Moeen Kausar
musaafirat mein tiraa saath gar nahin hotaa
rah-e-hayaat mein mujh se safar nahin hotaa
gham-e-hayaat shab-e-hijr kis taraf jaate
gharib-khaana hamaaraa agar nahin hotaa
· · ·
Moeen Kausar
vaarison mein ho chukaa jab faisla
marne vaale kaa janaaza tab uThaa
hai koi is se bhi baDh kar saaniha
qatl meraa mere hi ghar mein huaa
· · ·
Moeen Kausar
lag gai kis ki bad-du'aa tum ko
jurm ham ne kiyaa sazaa tum ko
khairiyat jaanne kaa haasil kyaa
kyaa rahaa ham se vaasta tum ko
· · ·
Moeen Kausar
khalaa ki had ko tum to paar karte karte thak gae
rasul-e-paak ek pal mein laa-makaan talak gae
tajalliyon mein aap ki kuchh aisi aab-o-taab thi
nigaar-khaane mein lage sab aaine darak gae
· · ·
Moeen Kausar
puchhti roz hai show-case ki guDiyaa mujh se
aap ke ghar kaa bahal jaaegaa bachcha mujh se
naa-tavaani mein bhi har ghar kaa bharam rakhti huun
kahti rahti hai ye divaar-e-shikasta mujh se
· · ·
Moeen Kausar
mire khulus ne pighlaa diyaa hai patthar ko
ki ab vo haath lagaataa nahin hai khanjar ko
baDaa hi naam kamaayaa bahut mili shohrat
hamaare sar ke jhukaane se aap ke dar ko
· · ·







