Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mubeen Mirza
kabhi khudaa kabhi khud se savaal karte hue
main ji rahaa huun musalsal malaal karte hue
magan thaa kaar-e-mohabbat mein is tarah ki mujhe
khabar na ho saki apnaa ye haal karte hue
· · ·
Mubeen Mirza
yahi to dukh hai zamin aasmaan banaa kar bhi
main dar-ba-dar huun khud apnaa jahaan banaa kar bhi
agar ye sach hai ki har shai yahaan pe faani hai
to kyaa karungaa main kuchh jaavedaan banaa kar bhi
· · ·
Mubeen Mirza
chale jaaeinge sab asbaab hairaani na jaaegi
kisi surat dil-o-jaan ki ye arzaani na jaaegi
so ab tai hai na jaaeingi ye dil ki vahshatein jab tak
ragon mein is umaDte khuun ki tughyaani na jaaegi
· · ·
Mubeen Mirza
ye mohabbat hai ise garmi-e-baazaar na kar
laakh vahshat sahi aisaa to mire yaar na kar
aaj ye soch ki kal kaise sambhaalegaa ise
be-sabab dil mein gumaanon kaa ye ambaar na kar
· · ·
Mubeen Mirza
din raat ke dekhe hue manzar se alag hai
ye lamha to maujud o mayassar se alag hai
maujein ki bagule hon mire dil kaa har ik rang
sahraa hai judaa aur samundar se alag hai
· · ·
Mubeen Mirza
baDe tufaan uThaane ke liye hain
ye aankhein muskuraane ke liye hain
bil-aakhir kam paDegaa ye andheraa
charaagh itne jalaane ke liye hain
· · ·
Mubeen Mirza
jaantaa huun ab yunhi barbaad rakkhegaa mujhe
vo bhi lekin is bahaane yaad rakkhegaa mujhe
khud miri vaaraftagi ne duur use mujh se kiyaa
ye khayaal ab umr bhar naashaad rakkhegaa mujhe
· · ·
Mubeen Mirza
kuchh dard jagaae rakhte hain kuchh khvaab sajaae rakhte hain
is dil ke sahaare jivan mein ham baat banaae rakhte hain
aise bhi maraahil aate hain is manzil-e-ishq ki raahon mein
jab ashk bahaate hain khud bhi us ko bhi rulaae rakhte hain
· · ·
Mubeen Mirza
khushi se ziist kaa har dukh uThaae jaate hain
ham ahl-e-dil ki rivaayat nibhaae jaate hain
junun ki raah mein bujh bujh ke ab bhi divaane
charaagh shola-e-jaan se jalaae jaate hain
· · ·
Mubeen Mirza
zamin bichhaa ke alag aasmaan banaaun koi
zamaan makaan se pare ab jahaan banaaun koi
tamaam umr chale mere saath tanhaai
gharaz hi kyaa hai mujhe kaarvaan banaaun koi
· · ·
Mubeen Mirza
tiraa gham dil pe ifshaa kar rahe hain
so dil se kaar-e-duniyaa kar rahe hain
tujhe ab kyaa bataaein ham tire baad
ba-naam-e-zist kyaa kyaa kar rahe hain
· · ·
Mubeen Mirza
ik khvaab ko aankhein rehn rakhein ik shauq mein dil viraan kiyaa
jiine ki tamannaa mein ham ne marne kaa sabhi saamaan kiyaa
ham khaak uDaate phirte hain is dasht-e-talab mein phir ik din
iqlim-e-junun us ne bakhshi aur dil kaa hamein sultaan kiyaa
· · ·
Mubeen Mirza
main din bhar pahle is duniyaa ki jaulaani mein rahtaa huun
magar phir raat bhar dil ki bayaabaani mein rahtaa huun
yahaan logon ke dil aur chehre har lahza badalte hain
mujhe lagtaa hai main ik dasht-e-imkaani mein rahtaa huun
· · ·
Mubeen Mirza
har ghaDi ik sitam ijaad kiyaa hai ham ne
shahr-e-dil khud tujhe barbaad kiyaa hai ham ne
aaj is ke hi karishmon se hain mahjub bahut
kal jise khud hi pari-zaad kiyaa hai ham ne
· · ·
Mubeen Mirza
ghubaar-e-raah-e-tilism-e-zamaana ho gae hain
ham aaise log bhi aakhir fasaana ho gae hain
rahe hain raunaq-e-sad-aastaan vo log ki aaj
ye chand tinke jinhein aashiyaana ho gae hain
· · ·
Mubeen Mirza
ik naqsh bigaDne se ik had ke guzarne se
kyaa kyaa nahin mar jaataa ik khvaab ke marne se
ab arsa-e-hasti mein sad-rang manaazir hain
is aaina-e-dil mein ik 'aks utarne se
· · ·
Mubeen Mirza
saathiyo jo 'ahd baandhaa hai use toDaa na jaae
jism mein jab tak lahu se maa'rka haaraa na jaae
'ahd-e-maazi mein bhi hai koh-e-nidaa jaisaa tilism
ye bhi vo aavaaz hai muD kar jise dekhaa na jaae
· · ·
Mubeen Mirza
tiri bazm se jo uTh kar tire jaan-nisaar aae
dil o jaan kaa sab asaasa tire dar pe vaar aae
tiraa ishq ban gayaa hai miri ziist ki masaafat
ki main ab jahaan bhi jaaun tiri rahguzaar aae
· · ·
Mubeen Mirza
na aah karte hue aur na vaah karte hue
jiyeinge zabt ko apni panaah karte hue
vo ek rang jo chhalkegaa us ki aankhon se
vo jiit legaa mujhe ik nigaah karte hue
· · ·
Mubeen Mirza
jalaa diyaa hai ki is ne bujhaa diyaa hai mujhe
pa dil ki aag ne kandan banaa diyaa hai mujhe
tiri talab ki ataa hai ki jis ne misl-e-charaagh
havaa-e-dahr mein jalnaa sikhaa diyaa hai mujhe
· · ·
Mubeen Mirza
mujhe jis ne meraa pataa diyaa vo gham-e-nihaan mire saath hai
miri zindagi miri raushni dil-be-amaan mire saath hai
miraa kaarvaan jo bichhaD gayaa mire dil kaa naqsh bigaD gayaa
main huun ik musaafir gum-shuda so yahi fughaan mire saath hai
· · ·







