Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Muhib Aarfi
andar to khayaalon ke ho aae khayaal apnaa
ifshaa-e-haqiqat se Dartaa hai savaal apnaa
kaaghaz ki sadaaqat huun go vaqf-e-kitaabat huun
safhon se ibaarat huun khulnaa hai muhaal apnaa
· · ·
Muhib Aarfi
umr bhar jis pe takiya rahaa kuchh na thaa dil nahin maantaa
kyaa karun tajzyon kaa aTal faisla dil nahin maantaa
kaund kar ek lamha jo phir jaa milaa vaqt ke abr mein
chhoD degi use vaqt ki maamtaa dil nahin maantaa
· · ·
Muhib Aarfi
khirad yaqin ke sukun-zaar ki talaash mein hai
ye dhuup saaya-e-divaar ki talaash mein hai
khataa chaman ki ki hai mubtalaa-e-laala-o-gul
bahaar sirf khas-o-khaar ki talaash mein hai
· · ·
Muhib Aarfi
mujh ko talab to nai duniyaa ki hai
raahbari naqsh-e-kaf-e-paa ki hai
baadiya-paimaai-e-vahshat se tang
be-ufaqi vusat-e-sahraa ki hai
· · ·
Muhib Aarfi
dilbari us rukh-e-dil-rubaa ki khaal-o-khad se ibaarat nahin hai
mahv-e-nazzaara-e-khaal-o-khad ko ye samajhne ki mohlat nahin hai
dil se hoti to hai raah dil ko faasla hai magar raah khud bhi
ek ho jaaein ham aap mil kar ishq ki aisi qismat nahin hai
· · ·
Muhib Aarfi
be-tahi yahi hogi ye jahaan kahin honge
sath kaaTne vaale sath-aafrin honge
aaftaab haT jaae jhilmilaane vaale hi
aasmaan-e-viraan mein raunaq aafrin honge
· · ·
Muhib Aarfi
shola-e-shauq ki aaghosh mein kyunkar aauun
ik tamannaa huun ki miT jaaun agar bar aauun
ek daavat huun agar un ke labon par khelun
ek hasrat huun agar khud ko mayassar aauun
· · ·
Muhib Aarfi
kaise kaise mile din ko saae hamein
raat ne bhed saare bataae hamein
raaz-e-hasti to kyaa khul sakegaa kabhi
mil gae the magar kuchh kinaae hamein
· · ·
Muhib Aarfi
ab yahaan koi nahin pahle yahaan thaa koi
jis ke dam se ye makaan aur makaan thaa koi
daaera daaera thaa jis se vo markaz na rahaa
jab vo thaa nuqta-e-be-qibla kahaan thaa koi
· · ·
Muhib Aarfi
khayaal-e-zehn-shikan se zabaan bhar aa jaae
ye ho to haath mire koi sher-e-tar aa jaae
hamaare miTne se duniyaa hui hai aisi nihaan
ki jaise biij se baahar koi shajar aa jaae
· · ·
Muhib Aarfi
us ko paa jaaun kabhi aisaa muqaddar hai kahaan
aur uThaa luun us se dil ye zor dil par hai kahaan
ghuT ke rah jaae na sar hi mein kahin zauq-e-sujud
main to sar har dar pe rakh duun par koi dar hai kahaan
· · ·
Muhib Aarfi
mahrumiyon kaa ik sabab josh-e-talab khud bhi to hai
shoale pe lapkaa is tarah jaise koi gul hi to hai
kis vahm kis chakkar mein ho khud-bin bagulon dam to lo
siine mein dil ho bhi kahin maanaa ki betaabi to hai
· · ·
Muhib Aarfi
saaya jis kaa nazar aataa hai mujhe
vo bhi saaya nazar aataa hai mujhe
vo jo hotaa hi chalaa jaataa hai
kuchh na hogaa nazar aataa hai mujhe
· · ·
Muhib Aarfi
apni aag mein bhunti jaae bunti jaae kafan apnaa
goyaa isi liye chhoDaa hai chingaari ne vatan apnaa
jhonke kuchh be-jaan havaa ke aate hain apne-aap chale
jhuum uThte hain chaman ke pankhe us ko jaan ke fan apnaa
· · ·
Muhib Aarfi
ik lahr si dekhi gai paae na gae ham
haalaanki yahin the kahin aae na gae ham
girdaab mein kyaa hai jise tufaan miTaae
haan gardish-e-dauraan se miTaae na gae ham
· · ·
Muhib Aarfi
jo zakhmon se apne bahalte raheinge
vahi phuul hain shahd ugalte raheinge
ghaTaaein uThin saanp viraaniyon ke
inhi aastinon mein palte raheinge
· · ·
Muhib Aarfi
naqqaad apne aap kaa be-laag aisaa kaun hai
honaa miraa ik vahm hai dekhun ye kahtaa kaun hai
vo aaftaab-e-husn hai jalve luTaae jaaegaa
us ko ab is se kyaa gharaz mushtaaq kitnaa kaun hai
· · ·
Muhib Aarfi
kuchh na hone ki haqiqat nahin jaani yaani
ham har isbaat pe karte rahe yaani yaani
tah bhi ik sath ki taabir hai sunte the yahi
sath par tairne vaalon ki zabaani yaani
· · ·







