SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMuztar Majaz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

eid aai to aksar ham se khushiyon ne munh pher liyaa

raushniyon ke tyauhaaron mein tirgiyon ne gher liyaa

subh hui to palak jhapakte bhuul gae ham go shab bhar

do aankhon se yak-bini kaa ek sabaq taa-der liyaa

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

fankaar hai to apne hunar ki bhi jaanch kar

do aur do ko chhe nahin kartaa to paanch kar

hain tere kitne kaam ke bekaar kis qadar

dariyaaon ko khangaal sitaaron ki jaanch kar

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

the sab ke aankh naak koi is mein shak na thaa

dekhaa to itni bhiiD mein ik chehra tak na thaa

yuun hai ki mere qatl ke darpe tamaam umr

khud main thaa aur ye mujhe maalum tak na thaa

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

aap jab aae to jiine ki adaa bhi aai

yak-ba-yak dil ke dhaDakne ki sadaa bhi aai

uTh gai aankh to kaliyon ne bhi aankhein kholin

khul gai zulf to lahraa ke ghaTaa bhi aai

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

intihaa-e-shauq mein kyaa kyaa samajh baiThe the ham

vaae naadaani kise apnaa samajh baiThe the ham

ye nahin samjhaa ki teraa vo to lutf-e-khaas thaa

jis ko teri ranjish-e-bejaa samajh baiThe the ham

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

yuun pau phaTi ki subh ki tauqir ghaT gai

suraj chaDhaa to dhuup andheron mein baT gai

har shaam yuun lagaa ki qayaamat kaa din Dhalaa

har subh yuun lagaa ki sadi ek kaT gai

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

jaan chiiz kyaa hai jaan se guzarte to dekhte

ji jaan se kisi pe jo marte to dekhte

jannat ko chhoDnaa to koi chiiz hi nahin

mamnua meva koi katarte to dekhte

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

chikhti rahti hai divaar dariche rote rahte hain

sone vaale paanv pasaare chain se sote rahte hain

rahtaa thaa jis shahr mein shaam se shor-e-raqs-o-raamish-o-rang

ab us shahr mein raat raat bhar kutte rote rahte hain

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

zamin se kaan lagaa aur aasmaan se sun

magar hai sakht bahut marhala ye dhyaan se sun

navaah-e-shahr mein sun bheDiyon ki aavaazein

lahu ki chikh har ik ku-e-be-amaan se sun

· · ·

GhazalMuztar Majaz

Muztar Majaz

sajda tire qadmon pe ravaa maan chuke hain

ham tujh ko mohabbat mein khudaa maan chuke hain

aankhon se hai takhsis na honTon se ki ham log

sar-taa-ba-qadam tujh ko nasha maan chuke hain

· · ·