SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNaeem Najmi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

jo dekhte hain ghurub-e-aaftaab hote hue

hamein bhi dekheinge ik roz khvaab hote hue

dayaar-e-'ishq mein husn-o-shabaab hote hue

diye jalaae hain kyuun maahtaab hote hue

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

khushbu se fazaaon ko jo mahkaayaa huaa hai

mehmaan koi pardes se ghar aayaa huaa hai

milne ki nahin mujh ko mohabbat se rihaai

farmaan udhar se to yahi aayaa huaa hai

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

udaasiyon se mulaaqaat hone vaali hai

diye jalaao ki ab raat hone vaali hai

phaDak rahi hai miri aankh aaj rah rah kar

ye lag rahaa hai koi baat hone vaali hai

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

nazar badal ke hamaari jaanib jab us ne dekhaa to log samjhe

mohabbaton kaa hasin rishta jo pal mein TuuTaa to log samjhe

jahaalaton kaa dil-o-nazar se ghubaar utraa to log samjhe

ki hain qayaamat ke ye nazaare zamir jaagaa to log samjhe

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

bhule bhaTke hue raston se nahin aae hain

ham yahaan jhuTe qasidon se nahin aae hain

ham pe laazim thaa charaaghon ki hifaazat karnaa

sulh karne ko havaaon se nahin aae hain

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

kahaan jazbaat mein ham bah rahe hain

jo kahnaa thaa vahi to keh rahe hain

kisi se kyaa gilaa shikva karein ham

ye dukh virse ke hain jo sah rahe hain

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

mujhe paagal banaane lag gae hain

vo phir nazdik aane lag gae hain

jo aae the jahaan mein rote rote

vo bachche muskuraane lag gae hain

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

be-vajh log aae hain paani to hai nahin

vaise bhi un ko aag bujhaani to hai nahin

jis din ubaal aa gayaa phir khairiyat kahaan

ye khuun hai hamaaraa ye paani to hai nahin

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

mahak labon ki main saanson mein chhoD aayaa huun

main us ko nindon mein khvaabon mein chhoD aayaa huun

main apne ghar mein tar-o-taaza aayaa huun ho kar

thakaan jism ki raston mein chhoD aayaa huun

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

daur-e-haazir mein bhi qissa vahi inkaar kaa hai

ye jo jhagDaa hai saron kaa nahin dastaar kaa hai

laakh dikhlaate rahe jauhar-e-afkaar-o-hunar

tazkira bazm mein fan kaa nahin fankaar kaa hai

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

jab bhi ham fikr ke gulzaar mein aa jaate hain

lafz mahke hue ash'aar mein aa jaate hain

ye jo ham bazm-e-adaakaar mein aa jaate hain

aisaa lagtaa hai ki be-kaar mein aa jaate hain

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

phuul zakhmon ke chun rahaa huun main

daastaan gham ki sun rahaa huun main

khaamoshi ki udaas raahon mein

teri aavaaz sun rahaa huun main

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

har vaqt zamaane pe nazar rakkhe hue hain

kis haal mein hain dost khabar rakkhe hue hain

raaton ki siyaahi kaa asar kuchh nahin un par

vo log jo aankhon mein sahar rakkhe hue hain

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

jaam ki hai na ye subu ki hai

ye mahak to mire lahu ki hai

ungliyaan meri khuun rone lagin

zindagi is qadar rafu ki hai

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

tumhein bachaani hai mahfilon mein bas apni 'izzat to chup hi rahnaa

jo chaahte ho baDhaanaa yaaro jahaan mein qimat to chup hi rahnaa

labon pe apne bhalaa main kaise karungaa qaabu koi bataae

vo keh rahe hain kahin jo dekho hasin surat to chup hi rahnaa

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

pahle to zehn se khalal nikle

phir kisi guftugu kaa hal nikle

mujh ko to apne raste jaanaa hai

aap kyuun saath saath chal nikle

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

khuun ke ghunT kai baar piye hain main ne

ik javaani mein kai 'ishq kiye hain main ne

husn vaalon se rafiqon se raqibon se mujhe

jitne bhi zakhm mile khud hi siye hain main ne

· · ·

GhazalNaeem Najmi

Naeem Najmi

junun ne khud se bhi be-zaar kar diyaa hai mujhe

main achchhaa khaasaa thaa bimaar kar diyaa hai mujhe

bhalaa main kaise rah-e-'ishq se bhaTak jaaun

kisi ne pahle hi hushyaar kar diyaa hai mujhe

· · ·