Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nasim Maysori
jumbish-a-abru-e-qaatil kabhi aisi to na thi
bulbul-e-jaan miri bismil kabhi aisi to na thi
vaada-e-vasl kiyaa kis ne diyaa dam kis ne
be-qaraari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi
· · ·
Nasim Maysori
mile be-nishaan ke nishaan kaise kaise
bane laa-makaan ke makaan kaise kaise
hue khaak daur-e-jahaan kaise kaise
hue haadse hain yahaan kaise kaise
· · ·
Nasim Maysori
tiri gali mein jo aae vo ghar nahin jaate
jo tere dar pe hain vo dar-ba-dar nahin jaate
vo aaeinge kabhi koThe pe imtihaan kar lo
falak se bhaage to shams-o-qamar nahin jaate
· · ·
Nasim Maysori
vo bekali nahin dil ko vo iztiraab nahin
tumhaare hijr kaa ab kuchh mujhe 'itaab nahin
jalaa-bhunaa huun mujhe khvaahish-e-kabaab nahin
pilaa de dho ke subu hi agar sharaab nahin
· · ·
Nasim Maysori
sar ko nausha ke mire shaah ne baandhaa sehraa
sura-e-nur kaa dikhlaataa hai jalva sehraa
riish yaaqub ne rakkhi hai rukh-e-yusuf par
chashm-e-bad-dur ki hai zulf-e-zulekhaa sehraa
· · ·
Nasim Maysori
mehrbaan mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat
aa mire chaand ke TukDe mire ghar aaj ki raat
raah bhuul aayaa hai ik chaand idhar aaj ki raat
kaisi ghar baiThi hai daulat mire ghar aaj ki raat
· · ·
Nasim Maysori
aai bahaar daur ho saaqi sharaab kaa
dariyaa bahaa de bazm mein ashk-e-kabaab kaa
is aaftaab-e-rukh pe nazar apni paDte hi
shabnam ki tarah uD gayaa parda hijaab kaa
· · ·
Nasim Maysori
sabza-e-khat hai payambar rukh hai quraan-e-bahaar
tu hai qibla tu hai kaaba tu hai imaan-e-bahaar
mere rone se hui fasl gulistaan-e-bahaar
ho gayaa mizaab-dida miir saamaan-e-bahaar
· · ·
Nasim Maysori
aaj sayyaad ne bhule se chaman dikhlaayaa
meri taqdir ne phir mujh ko vatan dikhlaayaa
ain masti mein jo vo shokh huaa sar ki jabin
ye uDe hosh ki nashshe ne hiran dikhlaayaa
· · ·
Nasim Maysori
mere ahvaal kaa afsaana banaayaa hotaa
har pari-zaad ko divaana banaayaa hotaa
tu jo raushan miraa kaashaana banaayaa hotaa
munh har ik shama se parvaana banaayaa hotaa
· · ·
Nasim Maysori
dariyaa-o-mauj saa kabhi ham se judaa na ho
ai but khudaa talak bhi tiraa aashnaa na ho
mahfil mein is pari ki jo ye dil-jalaa na ho
yaarab sharaab-e-naab mein hi kuchh mazaa na ho
· · ·
Nasim Maysori
qubul kijiye inkaar kaa maqaam nahin
ye jaam-e-mai hai pari-vasl kaa payaam nahin
ajiib hai ye saraapaa kamar kaa naam nahin
kuchh un ki be-dahni mein mujhe kalaam nahin
· · ·
Nasim Maysori
main na minnat-kash-e-angur huaa khuub huaa
chashm-e-makhmur se makhmur huaa khuub huaa
shoala-e-aah miraa nuur huaa khuub huaa
un kaa gesu shab-e-dijur huaa khuub huaa
· · ·







