Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nawed Fidaa Sattii
sehr-e-talab na khvaab-e-fusun mujh ko mil gayaa
niind aa gai to khud hi sukun mujh ko mil gayaa
main chaahtaa huun khaak uDaaun jahaan ki
ye kaisi aag kaisaa junun mujh ko mil gayaa
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
kisi ne dekhaa nahin iltijaa ke lahje mein
hazaar phuul khile the duaa ke lahje mein
jo aadmi hai use aadmi milungaa aur
khudaa se baat karungaa khudaa ke lahje mein
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
lafz likhtaa hai ki zanjir banaa detaa hai
vo to hairat ko bhi tahrir banaa detaa hai
tum use sirf nami kah ke ghulu mat barto
ashk ko dard hama-gir banaa detaa hai
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
dasht ke khaas havaale nazar aate hain mujhe
paanv mein khuun ke chhaale nazar aate hain mujhe
haif-sad-haif tujhe dekh nahin paataa main
shukr-sad-shukr ujaale nazar aate hain mujhe
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
huaa na mujh se koi ham-kalaam gardish mein
dhuaan hue hain mire subh-o-shaam gardish mein
khayaal-o-khvaab huaa har zamaana-e-vahshat
utar chuke hain sabhi khush-khiraam gardish mein
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
khaak thi khaak-daan mein kyaa thaa
ham se pahle jahaan mein kyaa thaa
jaan hatheli pe thi patangon ki
jaane is shama-daan mein kyaa thaa
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
khvaahishon se bar-sar-e-paikaar ho jaanaa paDaa
khud hi dil ki raah mein divaar ho jaanaa paDaa
un se puchho rizq ki majburiyaan kyaa chiiz hain
subh hote hi jinhein bedaar ho jaanaa paDaa
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
mere aasaab pe chhaati hi chali jaati hai
koi surat mujhe bhaati hi chali jaati hai
saans dar saans musaafir hain ghubaar-aaluda
zindagi khaak uDaati hi chali jaati hai
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
main rahungaa diye ke saath yahaan
kyaa chaleinge havaa ke haath yahaan
koi aahaT sunaai deti hai
kaun rahtaa hai mere saath yahaan
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
apne aabaa se bahut duur huaa jaataa hai
aadmi ishq mein majbur huaa jaataa hai
is mein kyaa chaand sitaaron ko qabaahat hogi
zarra-e-khaak agar nuur huaa jaataa hai
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
yuun kisi baat se ab Dar nahin lagtaa mujh ko
vahi hotaa hai jo aksar nahin lagtaa mujh ko
phuul lagtaa nahin hargiz tire honTon ki misaal
sarv tujh qad ke baraabar nahin lagtaa mujh ko
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
kisi ne dekhaa nahin iltijaa ke lahje mein
hazaar phuul khile the duaa ke lahje mein
jo aadmi hai use aadmi milungaa main
khudaa se baat karungaa khudaa ke lahje mein
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
lafz tartib se rakhtaa huun main tamsil ke saath
kaun kartaa hai bayaan falsafa tafsil ke saath
ashk paidaa huaa aankhon ki zamin se yak dam
aaina TuuT gayaa hijr ki takmil ke saath
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
ye jo saae sataa rahe the mujhe
kis liye aazmaa rahe the mujhe
khud hi manzar se haT gae ho tum
raaste se haTaa rahe the mujhe
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
dariyaa ki ravaani mire lahje mein nahin hai
main aag huun paani mire lahje mein nahin hai
rakhnaa hai mujhe maan haqiqat kaa jahaan mein
so jhuTi kahaani mire lahje mein nahin hai
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
ye jo ham apni khaanqaah mein hain
is kaa matlab tiri nigaah mein hain
thak chukaa huun main in se mil mil kar
aur kitne darakht raah mein hain
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
davaa asar nahin rakhti duaa qubul nahin
ye kaise log hain jin ko khudaa qubul nahin
miraa bhi dil nahin lagtaa ghane makaanon mein
use bhi shahr ki aab-o-havaa qubul nahin
· · ·
Nawed Fidaa Sattii
ashk ko raaegaan samajhte ho
tum miraa dukh kahaan samajhte ho
sach bataao phir apne baare mein
gar mujhe raaz-daan samajhte ho
· · ·







