Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Nusrat Ateeq Gorakhpur
aazmaaish ke samundar se guzarnaa bhi to hai
apne khvaabon mein nae rangon ko bharnaa bhi to hai
tum ne jiine ke liye aasaaishein sab kar to liin
tum ye shaayad bhuul baiThe ho ki marnaa bhi to hai
· · ·
Nusrat Ateeq Gorakhpur
na koi khvaahish na koi hasrat na koi ranj-o-malaal mujh ko
rulaa rahaa hai kai dinon se na jaane kis kaa khayaal mujh ko
ye kis ne nindein churaain meri ye kis ne meraa sukun chhinaa
ye kaun hai jo ki kar rahaa hai zaraa zaraa paaemaal mujh ko
· · ·
Nusrat Ateeq Gorakhpur
dil khol kar hansein na to aansu bahaaein log
chikhon ko phir bataao ki kaise dabaaein log
rahnaa paDegaa aise hi taa-zindagi hamein
jo din guzar gae hain unhein bhuul jaaein log
· · ·
Nusrat Ateeq Gorakhpur
ik tamaasha zaat kaa apni banaa kar dekh lo
qissa-e-gham apne logon ko sunaa kar dekh lo
vo dhuaan hogaa ki phir be-maut mar jaaeinge log
ye charaagh-e-ishq hai is ko bujhaa kar dekh lo
· · ·
Nusrat Ateeq Gorakhpur
ye aur baat hai ki sahaaraa nahin bane
lekin kisi ki raah kaa kaanTaa nahin bane
yaaron ke ham ne aib chhupaae hain baarhaa
un ko bachaayaa khud bhi tamaasha nahin bane
· · ·
Nusrat Ateeq Gorakhpur
ye mohabbaton kaa jo rishta hai ye bhi dekhne mein ajiib hai
kahin meraa dushman-e-jaan hai vo to kahin vo meraa habib hai
vo jo jaan se bhi aziiz thaa kahin raaste mein bichhaD gayaa
vo jo nafraton mein shumaar thaa vahi aaj meraa nasib hai
· · ·
Nusrat Ateeq Gorakhpur
shaam ko ghar lauT ke ji bhar ke pachhtaate rahe
kal ke chakkar mein ham apne aaj se jaate rahe
zindagi kaa aur koi pahlu nazar aaya nahin
kuchh nayaa karne ki dhun mein khud ko dohraate rahe
· · ·
Nusrat Ateeq Gorakhpur
ham tumhein badduaa nahin deinge
itni lambi sazaa nahin deinge
gham ko mahsus kijiye saahib
gham to aise maza nahin deinge
· · ·







