Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Obaid Siddiqi
aisi tan-aasaani se
baaz aa jaa naadaani se
jiinaa mushkil hotaa hai
itni nukta-daani se
· · ·
Obaid Siddiqi
khushk dariyaaon ko paani de khudaa
baadbaanon ko ravaani de khudaa
be-samaaat kar de saare shahr ko
yaa mujhe phir be-zabaani de khudaa
· · ·
Obaid Siddiqi
mujhe ab nayaa ik badan chaahiye
aur us ke liye baankpan chaahiye
main ye sochtaa huun asar ke liye
sadaa chaahiye yaa sukhan chaahiye
· · ·
Obaid Siddiqi
dariyaa jo chaDhaa hai vo utarne nahin denaa
ye lamha-e-maujud guzarne nahin denaa
duniyaa hi nahin dil ko bhi is shahr-e-havas mein
man-maani kisi haal mein karne nahin denaa
· · ·
Obaid Siddiqi
kaar-e-duniyaa ke taqaazon ko nibhaane mein kaTi
zindagi ret ki divaar uThaane mein kaTi
ab bhi raushan hai tire dil mein mohabbat kaa diyaa
raat phir sham-e-yaqin-saaz jalaane mein kaTi
· · ·
Obaid Siddiqi
zamin baar-haa badli zamaan nahin badlaa
isi liye to ye meraa jahaan nahin badlaa
na aarzu koi badli na meri mahrumi
badal gayaa hai ravayya samaan nahin badlaa
· · ·
Obaid Siddiqi
kyaa sune koi zabaani meri
aur phir vo bhi kahaani meri
shahr sahraa ki tarah lagtaa hai
raaegaan naql-e-makaani meri
· · ·
Obaid Siddiqi
apne baad haqiqat yaa afsaana chhoDaa thaa
phuul khile the main ne jab viraana chhoDaa thaa
saans ghuTi jaati thi kaisaa habs kaa aalam thaa
yaad hai jis din sabze ne lahraanaa chhoDaa thaa
· · ·
Obaid Siddiqi
nuqsaan kyaa bataaein hamaaraa kiyaa bahut
is kaarobaar-e-dil ne khasaaraa kiyaa bahut
chaaron taraf the phuul shafaq ke khile hue
jis shaam aasmaan kaa nazaaraa kiyaa bahut
· · ·
Obaid Siddiqi
rang havaa mein phail rahaa hai
dekho kaisaa phuul khilaa hai
mere us ke biich badan hai
aur badan mein dil dariyaa hai
· · ·
Obaid Siddiqi
kyaa phir zamin dil ki namnaak ho rahi hai
ik bel aarzu ki pechaak ho rahi hai
yalghaar kar rahaa hai ik raushni kaa lashkar
taarikiyon ki chaadar phir chaak ho rahi hai
· · ·
Obaid Siddiqi
manzar roz badal detaa huun apni narm-khayaali se
shaam shafaq mein Dhal jaati hai rang-e-hinaa ki laali se
tujh se bichhaD kar zinda rahnaa apne sog mein jiinaa hai
dil ik phuul thaa khushbu vaalaa TuuT gayaa hai Daali se
· · ·
Obaid Siddiqi
agar is shahr ki aab o havaa tabdil ho jaae
to phir sab kuchh ba-juz naam-e-khudaa tabdil ho jaae
mire hone ne duniyaa mein sabhi kuchh to badal Daalaa
mujhe tu hi bataa ab aur kyaa tabdil ho jaae
· · ·
Obaid Siddiqi
kabhi kabhi ye sunaa-pan khal jaataa hai
bas ik lamha aataa hai Tal jaataa hai
tujh se mujh ko bair sahi par kabhi kabhi
duniyaa teraa jaadu bhi chal jaataa hai
· · ·
Obaid Siddiqi
main fard-e-jurm teri tayyaar kar rahaa huun
ai aasmaan sun le hushyaar kar rahaa huun
ik had banaa rahaa huun shahr-e-havas mein apni
dar kholne ki khaatir divaar kar rahaa huun
· · ·
Obaid Siddiqi
main khvaab apne saare nilaam kar rahaa huun
aur ye bhi jaan lo ki be-daam kar rahaa huun
is se gharaz nahin hai boli lagegi kaise
jo kaam karnaa hai bas vo kaam kar rahaa huun
· · ·
Obaid Siddiqi
ab ye sifat jahaan mein naayaab ho gai hai
malmal badan pe us ke kam-khvaab ho gai hai
koi pata de us ko meri kitaab-e-jaan kaa
duniyaa ke saath vo bhi ik baab ho gai hai
· · ·
Obaid Siddiqi
duniyaa ko is baar fasaana kar dungaa
khvaabon ko har samt ravaana kar dungaa
in raston se meri puraani nisbat hai
saath chalo to safar suhaanaa kar dungaa
· · ·
Obaid Siddiqi
dayaar-e-khvaab se aage safar karne kaa din hai
to kyaa ye qissa-e-jaan mukhtasar karne kaa din hai
bulaavaa aa gayaa hai phir mujhe sahraa-navardi kaa
yahi to zindagi ko ham-safar karne kaa din hai
· · ·







