Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
dil se har-dam hamein aavaaz-e-bukaa aati hai
band kaanon ko bhi girya ki sadaa aati hai
dil se hai aankh tak aai asar-e-garmi-e-shauq
ashk hasrat se nigah aabla-paa aati hai
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
phaans leti hai dil samajh leinge
zulf karti hai bal samajh leinge
ham sipaahi hain aur kamaan abru
tegh pakDe ajal samajh leinge
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
khun-bahaa kaa khatt-e-laa-daavi diyaa
ji liyaa thaa use naahaq ji diyaa
sozan-e-mizhgaan ne taar-e-ashk se
bin tire aankhon ko mere si diyaa
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
kyon khafaa rashk-e-hur hotaa hai
aadmi se qusur hotaa hai
mai-e-ulfat se phir gayaa jo dil
surat-e-shisha chuur hotaa hai
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
dil se har dam hamein aavaaz lagaa aati hai
band kaanon ko bhi girye ki sadaa aati hai
dil se hai aankh tak aai asar-e-garmi-e-shauq
ashk-e-hasrat se nigah aabla-paa aati hai
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
main bosa lungaa bahaane bataaiye na mujhe
jo dil liyaa hai to qimat dilaaiye na mujhe
dilon mein Taalte ho dam nikal hi jaavegaa
main naa-tavaan huun bahut aazmaaiye na mujhe
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
chaandni har shab ko karti hai kinaaraa chaandni
tere khaatir munh ko dikhlaati hai taaraa chaandni
aaj mahtaabi pe chaDhtaa hai vo bahr-e-sair-e-maah
jaantaa huun kuchh tiraa chamkaa sitaaraa chaandni
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
dar rahaa sab pe jo sukhanvar hai
she'r tegh-e-zabaan kaa jauhar hai
baat apni ye sun ke kaan mein Daal
aabru misl-e-aab-e-gauhar hai
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
mohtasib se hui dam bhar bhi jo mahfil khaali
ji miraa jaam kaa shishe kaa huaa dil khaali
himmat-e-pir-e-mughaan dekh le zaahid chal kar
koi mai-khaane se phirtaa nahin saail khaali
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
naqaab chehre se vo shoala-ru uThaa letaa
to chashm-e-bad ko main aankhon kaa til jalaa letaa
jo us ke khaak-e-kaf-e-paa bhi milte ham-chashmo
to raah par use main surma saa lagaa letaa
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
jab se teri aankh ham se phir gai
halqa-e-gham mein tabiat ghir gai
fauj-e-mizhgaan mein mere khuun ke liye
chashm ki gardish se kauDi phir gai
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
sahbaa-kahson ki khaak hai har ik maqaam par
saaqi lunDhaa sharaab ko maston ke naam par
zar ho to haath aaein hasinaan-e-sim-tan
sayyaad kaa shikaar hai mauquf daam par
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
naam par harf na aane diije
jaan agar jaae to jaane diije
yaas ki aas na TuuTe jis mein
aas ko paas na aane diije
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
ishq mein dil ban ke divaana chalaa
aashnaa se ho ke begaana chalaa
qulqul-e-minaa se aati hai sadaa
bhar chukaa jis vaqt paimaana chalaa
· · ·
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
takalluf nahin ham se zebaa tumhaaraa
tumhaare hamaare hamaaraa tumhaaraa
liyaa dil to lo jaan bhi kyon rahe ji
tamannaa hamaari taqaazaa tumhaaraa
· · ·







