SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySafar Naqvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalSafar Naqvi

Safar Naqvi

vo tijaarat mein kahaan koi ziyaan chhoDtaa hai

ruuh le letaa hai aa'saab yahaan chhoDtaa hai

hai ye patthar miraa shishe se tire baalaa-tar

kam se kam zulm ke maathe pe nishaan chhoDtaa hai

· · ·

GhazalSafar Naqvi

Safar Naqvi

baDhegaa din na chalegi havaa hamaare baad

sameT legaa ye duniyaa khudaa hamaare baad

hamaaraa sadqa utaaro ai barchhiyo bhaalo

ki kaun rakkhegaa zauq-e-qazaa hamaare baad

· · ·

GhazalSafar Naqvi

Safar Naqvi

zuhur-e-zaat kaa tul-e-masaafat kaun samjhegaa

na ham bole to phir asraar-e-hijrat kaun samjhegaa

zamin par maar kar saaghar ye vaa'iz kahtaa jaataa hai

musalsal hosh mein rahne ki vahshat kaun samjhegaa

· · ·

GhazalSafar Naqvi

Safar Naqvi

halqa halqa lag rahaa hai phuul ab zanjir kaa

mahv-e-lutf-e-khvaab aankhein kyaa karein taa'bir kaa

phir nayaa maqtal abhi pusht-e-faras chhoDi nahin

aur na khuun hi suukh paayaa hai miri shamshir kaa

· · ·

GhazalSafar Naqvi

Safar Naqvi

us ko khuub aataa hai har adaa judaa rakhnaa

baandh kar zaminon ko aasmaan khulaa rakhnaa

khuub jaantaa hai ye ik faqir haathon mein

kab hai be-kasi rakhnaa kab hai mo'jiza rakhnaa

· · ·

GhazalSafar Naqvi

Safar Naqvi

yuun to meri zaat har pal dar-ba-dar hoti rahi

aankh lekin sahn-e-husn-e-yaar par rakkhi rahi

baa'd tere khvaab bhi sab barhana hote rahe

aur in nindon ki bhi ‘ismat-dari hoti rahi

· · ·

GhazalSafar Naqvi

Safar Naqvi

hasin itnaa lagaa ham pe muflisi kaa libaas

ki phir banaa hi liyaa is ko zindagi kaa libaas

hamaare naap ke milte hain gham ke pairaahan

hamaare naap kaa miltaa nahin khushi kaa libaas

· · ·

GhazalSafar Naqvi

Safar Naqvi

kuchh ko ye zid hai ki ham us ko yahin dekheinge

kuchh ye kahte hain chalo chhoDo vahin dekheinge

qiston qiston mein nihaareinge saraapaa teraa

ek hi baar mein ham puuraa nahin dekheinge

· · ·