SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byShaz Tamkanat(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

mire nasib ne jab mujh se intiqaam liyaa

kahaan kahaan tiri yaadon ne haath thaam liyaa

fazaa ki aankh bhar aai havaa kaa rang uDaa

sukut-e-shaam ne chupke se teraa naam liyaa

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

vo niyaaz-o-naaz ke marhale nigah-o-sukhan se chale gae

tire rang-o-bu ke vo qaafile tire pairahan se chale gae

koi aas hai na hiraas hai shab-e-maah kitni udaas hai

vo jo rang rang ke aks the vo kiran kiran se chale gae

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

ek raat aap ne ummid pe kyaa rakkhaa hai

aaj tak ham ne charaaghon ko jalaa rakkhaa hai

sausan o nastaran o sumbul o raihaan o gulaab

teri yaadon ko gulistaan mein chhupaa rakkhaa hai

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

jaane vaale tujhe kab dekh sakun baar-e-digar

raushni aankh ki bah jaaegi aansu ban kar

tu hissar-e-dar-o-divaar liye jaae kidhar

meraa kyaa hai ki main huun dasht-ba-dil khaana ba-sar

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

jin zakhmon par thaa naaz hamein vo zakhm bhi bharte jaate hain

saansein hain ki ghaTti jaati hain din hain ki guzarte jaate hain

divaar hai gum-sum dar tanhaa phir hote chale hain shajar tanhaa

kuchh dhuup si Dhalti jaati hai kuchh saae utarte jaate hain

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

meri vahshat kaa tire shahr mein charchaa hogaa

ab mujhe dekh ke shaayad tujhe dhokaa hogaa

saaf rasta hai chale aao su-e-dida-o-dil

aql ki raah se aaoge to pheraa hogaa

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

banaa husn-e-takallum husn-e-zan aahista aahista

bahar-surat khulaa ik kam-sukhan aahista aahista

musaafir raah mein hai shaam gahri hoti jaati hai

sulagtaa hai tiri yaadon kaa ban aahista aahista

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

simaT simaT si gai thi zamin kidhar jaataa

main us ko bhultaa jaataa huun varna mar jaataa

main apni raakh kuredun to teri yaad aae

na aai teri sadaa varna main bikhar jaataa

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

rang laayaa miraa be-barg-o-navaa ho jaanaa

itnaa aasaan na thaa us kaa khudaa ho jaanaa

kaun aavaaz baras ban ke rahaa mahmil-e-naaz

kis ki qismat mein hai sahraa ki sadaa ho jaanaa

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

havaa ke dosh pe raqs-e-sahaab jaisaa thaa

tiraa vajud haqiqat mein khvaab jaisaa thaa

dam-e-vidaaa samundar bichhaa rahaa thaa koi

tamaam-shahr hi chashm-e-pur-aab jaisaa thaa

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

nafas nafas hai tire gham se chuur chuur ab tak

na shaam hai na saveraa qarib duur ab tak

suni-sunaai pe mat jaa zaraa qarib to aa

sazaa na de ki mohabbat hai be-qusur ab tak

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

pyaasaa huun reg-zaar mein dariyaa dikhaai de

jo haal puchh le vo masihaa dikhaai de

har taaza vaarid-e-kham-e-gesu ko dekh kar

mujh ko phir apnaa ahd-e-tamannaa dikhaai de

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

bahut dinon se hai ji mein savaal puchhungaa

main tere aaine se teraa haal puchhungaa

bahut hasin hai ye duniyaa magar zavaal ke saath

khudaa se hashr mein husn-e-zavaal puchhungaa

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

misaal-e-shoala-o-shabnam rahaa hai aankhon mein

vo ek shakhs jo kam kam rahaa hai aankhon mein

kabhi ziyaada kabhi kam rahaa hai aankhon mein

lahu kaa silsila paiham rahaa hai aankhon mein

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

hayaat raas na aae ajal bahaana kare

tire baghair bhi jiinaa paDe khudaa na kare

main roz martaa huun is intizaar ke sadqe

buraa na maan agar zindagi vafaa na kare

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

maanaa ki mere zarf se baDh kar mujhe na do

shabnam hi maangtaa huun samundar mujhe na do

jis ko havaa ke rukh pe na kholaa gayaa kabhi

ik aise baadbaan kaa muqaddar mujhe na do

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

zaraa si baat thi baat aa gai judaai tak

hansi ne chhoD diyaa laa ke jag-hansaai tak

bhale se ab koi teri bhalaai ginvaae

ki main ne chaahaa thaa tujh ko tiri buraai tak

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

koi to aa ke rulaa de ki hans rahaa huun main

bahut dinon se khushi ko taras rahaa huun main

sahar ki os mein bhigaa huaa badan teraa

vo aanch hai ki chaman mein jhulas rahaa huun main

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

saanson mein base ho tum aankhon mein chhupaa lungaa

jab chaahun tumhein dekhun aaina banaa lungaa

yaadon se kaho meri baalin se chali jaaein

ab ai shab-e-tanhaai aaraam zaraa lungaa

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

kuchh ajab aan se logon mein rahaa karte the

ham khafaa ho ke bhi aapas mein milaa karte the

itni tahzib-e-rah-o-rasm to baaqi thi ki vo

laakh ranjish sahi vaada to vafaa karte the

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

miraa zamir bahut hai mujhe sazaa ke liye

tu dost hai to nasihat na kar khudaa ke liye

vo kashtiyaan miri patvaar jin ke TuuT gae

vo baadbaan jo taraste rahe havaa ke liye

· · ·

GhazalShaz Tamkanat

Shaz Tamkanat

koi tanhaai kaa ehsaas dilaataa hai mujhe

main bahut duur huun nazdik bulaataa hai mujhe

main ne mahsus kiyaa shahr ke hangaame mein

koi sahraa mein hai, sahraa mein bulaataa hai mujhe

· · ·