SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byJaun Eliya(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ham rahe par nahin rahe aabaad

yaad ke ghar nahin rahe aabaad

kitni aankhein huiin halaak-e-nazar

kitne manzar nahin rahe aabaad

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

khud main hi guzar ke thak gayaa huun

main kaam na kar ke thak gayaa huun

uupar se utar ke taaza-dam thaa

niche se utar ke thak gayaa huun

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

kyaa yaqin aur kyaa gumaan chup rah

shaam kaa vaqt hai miyaan chup rah

ho gayaa qissa-e-vajud tamaam

hai ab aaghaaz-e-daastaan chup rah

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

hamaare zakhm-e-tamannaa puraane ho gae hain

ki us gali mein gae ab zamaane ho gae hain

tum apne chaahne vaalon ki baat mat suniyo

tumhaare chaahne vaale divaane ho gae hain

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

jo zindagi bachi hai use mat gavaaiye

behtar ye hai ki aap mujhe bhuul jaaiye

har aan ik judaai hai khud apne aap se

har aan kaa hai zakhm jo har aan khaaiye

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

khud se rishte rahe kahaan un ke

gham to jaane the raaegaan un ke

mast un ko gumaan mein rahne de

khaana-barbaad hain gumaan un ke

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

dil se hai bahut gurez-paa tu

tu kaun hai aur hai bhi kyaa tu

kyuun mujh mein ganvaa rahaa hai khud ko

mujh aise yahaan hazaar-haa tu

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ye jo sunaa ik din vo haveli yaksar be-aasaar giri

ham jab bhi saae mein baiThe dil par ik divaar giri

junhi muD kar dekhaa main ne biich uThi thi ik divaar

bas yuun samjho mere uupar bijli si ik baar giri

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

kis se izhaar-e-muddaaa kiije

aap milte nahin hain kyaa kiije

ho na paayaa ye faisla ab tak

aap kiije to kyaa kiyaa kiije

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ik zakhm bhi yaaraan-e-bismil nahin aane kaa

maqtal mein paDe rahiye qaatil nahin aane kaa

ab kuuch karo yaaro sahraa se ki sunte hain

sahraa mein ab aainda mahmil nahin aane kaa

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ye aksar talkh-kaami si rahi kyaa

mohabbat zak uThaa kar aai thi kyaa

na kasdam hain na afi hain na azhdar

mileinge shahr mein insaan hi kyaa

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

abhi farmaan aayaa hai vahaan se

ki haT jaaun main apne darmiyaan se

yahaan jo hai tanaffus hi mein gum hai

parinde uD rahe hain shaakh-e-jaan se

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ranj hai haalat-e-safar haal-e-qayaam ranj hai

subh-ba-subh ranj hai shaam-ba-shaam ranj hai

us ki shamim-e-zulf kaa kaise ho shukriya adaa

jab ki shamim ranj hai jab ki mashaam ranj hai

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

dil ne vafaa ke naam par kaar-e-vafaa nahin kiyaa

khud ko halaak kar liyaa khud ko fidaa nahin kiyaa

khira-saraan-e-shauq kaa koi nahin hai jumba-daar

shahr mein is giroh ne kis ko khafaa nahin kiyaa

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ajab ik taur hai jo ham sitam ijaad rakhein

ki na us shakhs ko bhulein na use yaad rakhein

ahd is kucha-e-dil se hai so us kuche mein

hai koi apni jagah ham jise barbaad rakhein

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

shauq kaa baar utaar aayaa huun

aaj main us ko haar aayaa huun

uf miraa aaj mai-kade aanaa

yuun to main kitni baar aayaa huun

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ai vasl kuchh yahaan na huaa kuchh nahin huaa

us jism ki main jaan na huaa kuchh nahin huaa

tu aaj mere ghar mein jo mehmaan hai iid hai

tu ghar kaa mezbaan na huaa kuchh nahin huaa

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

kab us kaa visaal chaahiye thaa

bas ek khayaal chaahiye thaa

kab dil ko javaab se gharaz thi

honTon ko savaal chaahiye thaa

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

saare rishte tabaah kar aayaa

dil-e-barbaad apne ghar aayaa

aakhirash khuun thukne se miyaan

baat mein teri kyaa asar aayaa

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ek hi muzhda subh laati hai

dhuup aangan mein phail jaati hai

rang-e-mausam hai aur baad-e-sabaa

shahr kuchon mein khaak uDaati hai

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

dil kitnaa aabaad huaa jab diid ke ghar barbaad hue

vo bichhDaa aur dhyaan mein us ke sau mausam ijaad hue

naamvari ki baat digar hai varna yaaro socho to

gulgun ab tak kitne teshe be-khun-e-farhaad hue

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

yaad use intihaai karte hain

so ham us ki buraai karte hain

pasand aataa hai dil se yusuf ko

vo jo yusuf ke bhaai karte hain

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ajab haalat hamaari ho gai hai

ye duniyaa ab tumhaari ho gai hai

sukhan meraa udaasi hai sar-e-shaam

jo khaamoshi pe taari ho gai hai

· · ·

GhazalJaun Eliya

Jaun Eliya

ham to jaise vahaan ke the hi nahin

be-amaan the amaan ke the hi nahin

ham ki hain teri daastaan yaksar

ham tiri daastaan ke the hi nahin

· · ·