Shayari
ab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin
mast saare shahr vaale khuun ki holi mein the
jo tire dar se uThaa phir vo kahin kaa na rahaa
us ki qismat mein rahi dar-badri kahte hain
جو ترے در سے اٹھا پھر وہ کہیں کا نہ رہا
اس کی قسمت میں رہی در بدری کہتے ہیں
जो तिरे दर से उठा फिर वो कहीं का न रहा
उस की क़िस्मत में रही दर-बदरी कहते हैं

ab dhanak ke rang bhi un ko bhale lagte nahin
mast saare shahr vaale khuun ki holi mein the
husn kaafir thaa adaa qaatil thi baatein sehr thiin
aur to sab kuchh thaa lekin rasm-e-dildaari na thi
saahil ke sukun se kise inkaar hai lekin
tufaan se laDne mein mazaa aur hi kuchh hai
tumhaari maslahat achchhi ki apnaa ye junun behtar
sambhal kar girne vaalo ham to gir gir kar sambhle hain
ham jis ke ho gae vo hamaaraa na ho sakaa
yuun bhi huaa hisaab baraabar kabhi kabhi
bastiyaan kuchh huiin viraan to maatam kaisaa
kuchh kharaabe bhi to aabaad huaa karte hain