Shayari
tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud
tumhaare jism ki khushbu mire makaan mein hai
hai jism sakht magar dil bahut hi naazuk hai
ki jaise aaina mahfuz ik chaTTaan mein hai
ہے جسم سخت مگر دل بہت ہی نازک ہے
کہ جیسے آئینہ محفوظ اک چٹان میں ہے
है जिस्म सख़्त मगर दिल बहुत ही नाज़ुक है
कि जैसे आईना महफ़ूज़ इक चट्टान में है

tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud
tumhaare jism ki khushbu mire makaan mein hai
is se baDh kar tiri yaadon ki karun kyaa taazim
teri yaadon mein zamaane ko bhulaa rakkhaa hai
taajjub kuchh nahin 'daanaa' jo baazaar-e-siyaasat mein
qalam bik jaaein to sach baat likhnaa chhoD dete hain
ghar ki viraaniyaan le jaae churaa kar koi
isi ummid pe darvaaza khulaa rakkhaa hai
apne hi khuun se is tarah adaavat mat kar
zinda rahnaa hai to saanson se baghaavat mat kar
us se puchho azaab raston kaa
jis kaa saathi safar mein bichhDaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
baaton se sivaa hoti hai kuchh vahshat-e-dil aur
ahbaab pareshaan hain mire tarz-e-amal se
khudaa ne aaj tak us qaum ki haalat nahin badli
na ho jis ko khayaal aap apni haalat ke badalne kaa
ye alag baat ki vo dil se kisi aur kaa thaa
baat to us ne hamaari bhi ba-zaahir rakkhi
ilaaj-e-dil ke liye aur ab kahaan jaaein
tumhaare shahr mein sab kuchh milaa davaa ke sivaa