Shayari
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
mauzu-e-guftugu to miri jaan kuchh aur thaa
dauraan-e-guftugu mein teri baat aa gai
موضوع گفتگو تو مری جاں کچھ اور تھا
دوران گفتگو میں تیری بات آ گئی
मौज़ू-ए-गुफ़्तुगू तो मिरी जाँ कुछ और था
दौरान-ए-गुफ़्तुगू में तेरी बात आ गई

zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye