Shayari
vo shakhs yaadon kaa mujh ko ghulaam karte hue
gayaa bhi to miri nindein haraam karte hue
kisi ke diid kaa paighaam le ke aa rahaa huun
tavaaf ke liye ehraam le ke aa rahaa huun
کسی کے دید کا پیغام لے کے آ رہا ہوں
طواف کے لیے احرام لے کے آ رہا ہوں
किसी के दीद का पैग़ाम ले के आ रहा हूँ
तवाफ़ के लिए एहराम ले के आ रहा हूँ

vo shakhs yaadon kaa mujh ko ghulaam karte hue
gayaa bhi to miri nindein haraam karte hue
hadd-e-nazar tak ek dariche se aaj phir
main jaa rahaa thaa aur koi dekhtaa rahaa
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shakhs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
musalsal sochte rahte hain tum ko
tumhein jiine ki aadat ho gai hai
so apne shahr ke raunaq ki khair maangnaa tum
main apne gaanv se ik shaam le ke aa rahaa huun
ab ibaadat mein bhi aa jaate ho lab par mere
itnaa paDhtaa huun tumhein hijr ke lamhon mein ki bas