Shayari
hadd-e-nazar tak ek dariche se aaj phir
main jaa rahaa thaa aur koi dekhtaa rahaa
vo shakhs yaadon kaa mujh ko ghulaam karte hue
gayaa bhi to miri nindein haraam karte hue
وہ شخص یادوں کا مجھ کو غلام کرتے ہوئے
گیا بھی تو مری نیندیں حرام کرتے ہوئے
वो शख़्स यादों का मुझ को ग़ुलाम करते हुए
गया भी तो मिरी नींदें हराम करते हुए

hadd-e-nazar tak ek dariche se aaj phir
main jaa rahaa thaa aur koi dekhtaa rahaa
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shakhs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
musalsal sochte rahte hain tum ko
tumhein jiine ki aadat ho gai hai
so apne shahr ke raunaq ki khair maangnaa tum
main apne gaanv se ik shaam le ke aa rahaa huun
qasr-e-dil kuchh is qadar TuuTaa huaa hai ahtamaam
un ke bas ik lams bhar se khaak mein mil jaae gaa
ab ibaadat mein bhi aa jaate ho lab par mere
itnaa paDhtaa huun tumhein hijr ke lamhon mein ki bas
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
sabhi ne lagaayaa hai chehre pe chehra
kise yaad rakkhein kise bhuul jaaein