Shayari
itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
ham yuun bhi mutmain hue hain e'tiraaf par
us ne hamein mu'aaf kiyaa hai sazaa ke baa'd
ہم یوں بھی مطمئن ہوئے ہیں اعتراف پر
اس نے ہمیں معاف کیا ہے سزا کے بعد
हम यूँ भी मुतमइन हुए हैं ए'तिराफ़ पर
उस ने हमें मु'आफ़ किया है सज़ा के बा'द

itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
tumhaari khush-nasibi hai ki tum samjhe nahin ab tak
akele-pan mein aur tanhaai mein jo farq hotaa hai
kuchh umr apni zaat kaa dukh jhelte rahe
kuchh umr kaaenaat kaa dukh jhelnaa paDaa
ek laDki chuDiyaan khankaa rahi thi aur tabhi
us khanak se uTh rahaa thaa jaise zindaani kaa shor
kisi se bhi mukhaatib hon koi bhi baat hoti ho
tumhaaraa naam lene kaa bahaana DhunD lete hain
ujlat mein vo dekho kyaa kyaa chhoD gayaa
apni baatein apnaa chehra chhoD gayaa