Shayari
itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
kisi se bhi mukhaatib hon koi bhi baat hoti ho
tumhaaraa naam lene kaa bahaana DhunD lete hain
کسی سے بھی مخاطب ہوں کوئی بھی بات ہوتی ہو
تمہارا نام لینے کا بہانہ ڈھونڈ لیتے ہیں
किसी से भी मुख़ातिब हों कोई भी बात होती हो
तुम्हारा नाम लेने का बहाना ढूँड लेते हैं

itnaa masruf kar liyaa khud ko
gham bhi aa kar khushi se lauT gae
tumhaari khush-nasibi hai ki tum samjhe nahin ab tak
akele-pan mein aur tanhaai mein jo farq hotaa hai
kuchh umr apni zaat kaa dukh jhelte rahe
kuchh umr kaaenaat kaa dukh jhelnaa paDaa
ek laDki chuDiyaan khankaa rahi thi aur tabhi
us khanak se uTh rahaa thaa jaise zindaani kaa shor
us se koi gila bhi karein ham to kyaa karein
vaa'da koi kiyaa hi nahin us ne aaj tak
ujlat mein vo dekho kyaa kyaa chhoD gayaa
apni baatein apnaa chehra chhoD gayaa