Shayari
'amir' ab hichkiyaan aane lagi hain
kahin main yaad farmaayaa gayaa huun
saaraa parda hai dui kaa jo ye parda uTh jaae
gardan-e-shaikh mein zunnaar barhaman Daale
سارا پردہ ہے دوئی کا جو یہ پردہ اٹھ جائے
گردن شیخ میں زنار برہمن ڈالے
सारा पर्दा है दुई का जो ये पर्दा उठ जाए
गर्दन-ए-शैख़ में ज़ुन्नार बरहमन डाले

'amir' ab hichkiyaan aane lagi hain
kahin main yaad farmaayaa gayaa huun
kaun uThaaegaa tumhaari ye jafaa mere baad
yaad aaegi bahut meri vafaa mere baad
zabt dekho udhar nigaah na ki
mar gae marte marte aah na ki
baad marne ke bhi chhoDi na rifaaqat meri
meri turbat se lagi baiThi hai hasrat meri
gaahe gaahe ki mulaaqaat hi achchhi hai 'amir'
qadr kho detaa hai har roz kaa aanaa jaanaa
misi chhuTi hui sukhe hue honT
ye surat aur aap aate hain ghar se