Shayari
hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
harim-e-naaz ke parde mein jo nihaan thaa kabhi
usi ne shokh adaaein dikhaa ke luuT liyaa
حریم ناز کے پردے میں جو نہاں تھا کبھی
اسی نے شوخ ادائیں دکھا کے لوٹ لیا
हरीम-ए-नाज़ के पर्दे में जो निहाँ था कभी
उसी ने शोख़ अदाएँ दिखा के लूट लिया

hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamaari baat aur
har ek shakhs miraa shahr mein shanaasaa thaa
magar jo ghaur se dekhaa to main akelaa thaa
shaayad aa jaae kabhi dekhne vo rashk-e-masih
main kisi aur se is vaaste achchhaa na huaa
ji to ye chaahtaa hai mar jaaein
zindagi ab tiri razaa kyaa hai
sukun qalb ko jis se mil jaae 'taabaan'
ghazal koi aisi sunaa dijiyegaa