Shayari
hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
samajh se kaam jo letaa har ek bashar 'taabaan'
na haahaa-kaar hi machte na ghar jalaa karte
سمجھ سے کام جو لیتا ہر ایک بشر تاباںؔ
نہ ہاہا کار ہی مچتے نہ گھر جلا کرتے
समझ से काम जो लेता हर एक बशर 'ताबाँ'
न हाहा-कार ही मचते न घर जला करते

hanste hanste nikal paDe aansu
rote rote kabhi hansi aai
khushi ki baat aur hai ghamon ki baat aur
tumhaari baat aur hai hamaari baat aur
har ek shakhs miraa shahr mein shanaasaa thaa
magar jo ghaur se dekhaa to main akelaa thaa
shaayad aa jaae kabhi dekhne vo rashk-e-masih
main kisi aur se is vaaste achchhaa na huaa
ji to ye chaahtaa hai mar jaaein
zindagi ab tiri razaa kyaa hai
sukun qalb ko jis se mil jaae 'taabaan'
ghazal koi aisi sunaa dijiyegaa